Imraan Ka Yeh Sharf Hai Khuda Ki Nigah Mein 2024
Imraan Ka Yeh Sharf Hai Khuda Ki Nigah Mein.
Apna Rasool De Diya Unn Ki Panah Mein.
Woh Jis Rasool Ki Thi Do Aalam Pe Ik Nazar.
Imran Unn Ko Rakhtay They Apni Nigah Mein.
Dushman Khuda Ka Maan Ke Nabod Kar Diya.
Aaya Jo Koi Unn Ke Bhatijay Ki Rah Mein.
Kar-e-Khuda Mein Hath Bata Kar Nabi Ka Woh.
Salar Ban Gaye Hain Khuda Ki Sipah Mein.
Shaban Mein Youn Kufar Ka Chehra Utar Gaya.
Imran Itnay Utray Hain Iss Aik Mah Mein.
Imran Ke Hussain Ki La Dekh Ghoor Se.
Aaein Gay Khud Nazar Woh Tujhey LaIlaha Mein.
Kabay Se Poch Hazrat-e-Imran Ka Maqam.
Shamil Hai Unn Ka Khon Har Ik Sajdah Ga Mein.
Yaqoot Bach Ke Chamkay Ga Ta Hashar Unn Ka Naam.
Aye Deen-e-Kirdgar Tumhari Kullah Mein.
Imran Pehla Naam Hai Oss Darsgah Ka.
Pal Kar Jawan Dein Howa Jis Darsgah Mein.
Lag Jaye Unn Ki Aah Tu Mit Jaye Kainat.
Yeh Kam Se Kam Asar Hai :ASAD: Unn Ki Aah Mein.
Poet: :Asad Ali Asad:
Hazrat Abu Talib AS Manqabat
#ImraanKaYehSharfHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint