Sab Jhot Tha Jo Chashma-e-Haiwaan Ke Pass Tha Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سب جھوٹ تھا جو چشمہء حیواں کے پاس تھا
Aab-e-Baqa Faqat Lab-e-Janaa Ke Pass Tha.
Jeete Rahe Hum Aap Se Milne Ki Aas Par.
Kya Husan Aik Jhote Se Paimaan Ke Pass Tha.
Mazloom Panchiyon Ki Tawaze Ke Waste.
Ik Dil-Fraib Baag Bhi Zindaan Ke Pass Tha.
Ik Din Tu Admi Ko Wo Deta Khuli Majal.
Par Itna Hosla Kahan Yazdaan Ke Pass Tha.
Phir Bhi Adab Ki Had Se Main Aagay Na Barh Saka.
Go Mera Hath Oss Ke Girebaan Ke Pass Tha.
Kya Benazir Cheez Hoi Kis Jagah Naseeb.
Dil Ka Qarar Zulf-e-Pareshaan Ke Pass Tha.
Takhreeb-e-Kainat Ka Ilzam Kis Ko Dein.
Dunya ka Intezam Tu Insaan Ke Pass Tha.
Dunya Ki Sari Hashmat-o-Dolat Ke Bawojod.
Tha Ik Khuda Ka Naam Jo Insaan Ke Pass Tha.
Hukaam Ne Wahan Se Bhi Mujh Ko Utha Diya.
Baitha Howa Main Yaar Ke Darbaan Ke Pass Tha.
Ab Bhi Gila Kare Mera Mehmaan Tu Kya Kahon.
Mera Tamam Ghar Mere Mehmaan Ke Pass Tha.
Jo Phool Tha Wo Meri Pohanch Mein Na Tha :ADAM:.
Jo Khar Tha Wo Meri Rag-e-Jaan Ke Pass Tha.
Poet: :Syed Abdul Hameed Adam:
Book: :Chaara-e-Dard:
www.tajpoint.com