Imam e Raza Ke Pass Syed Mohammad Shah Lyrics 2022
Imam e Raza Ke Pass Syed Mohammad Shah
Tasveer-e-Syeda Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Masooma Fatima Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Jibreel Ja Ke Poch Le Zair-e-Kisa Tha Kaun.
Tatheer Ki Rida Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Qaleen Kaisay Shair Bana Tha Yeh Pochne.
Har Ik Nabi Gaya Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Aadam Hai Yeh Ya Mosa Hai Na Jane Kaun Hai.
Nobat Baja Raha Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Maula Ke Dastakhat Se Woh Jaye Ga Arsh Tak.
Sajdah Abhi Gaya Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Iss Ko Maseeha Mannay Walay Ko Kya Khabar.
Esa Ki Khud Shifa Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Kaba Tu Ik Makaan Hai Pata La Makan Ka.
Ya Karbala Mein Hai Ya Imam-e-Raza Ke Pas.
Debal Bata Gaya Hai Keh :AKBAR: Tera Kalam.
Likha Howa Para Hai Imam-e-Raza Ke Pas.
Poet: :Hasnain AKbar:
Manqabat Khowan: :Syed Mohammad Shah:
Manqabat Volume: :Syed Mohammad Shah 2021-22:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#ImameRazaKePass
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Imam e Raza Ke Pass Syed Mohammad Shah Lyrics 2022 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
