Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba Lyrics In Urdu and Roman Urdu
تیری اُمت نے میرے دَر کو جلایا باباؐ
Phir Wo Jalta Howa Dar Mujh Pe Giraya Baba.
Rakh Thi Sholay The Sehme Howay Bache Ya Dhuwan.
Mere Aangan Mein Tha Ik Sham-e-Ghareeban Ka Samaa.
Dar Hata Kar Mujhe Fiza ne Uthaya Baba.
Laut Kar Ayi Tu Chehra Bhi Mera Zakhmi Tha.
Meri Zainab Ko Meri Peshi Ka Pehla Noha.
Mere Balon Ki Safaidi Ne Sunaya Baba.
Le Chale Qaidi Bana Kar Jo Ali Ke Dushman.
Main Chora Nahi Haider Ki Abba Ka Daman.
Taziyano Ne Magar Mujh Se Choraya Baba.
Baith Kar Parhti Hoon Mushkil Se Namaz-e-Shab Bhi.
Phir Bhi Abbas Ki Khilqat Ki Dua Bholi Nahi.
Jab Bhi Zakhmi Howay Hathon Ko Uthaya Baba.
Zakhmi Halat Mein Bhi Dehleez Se Bahir Ayi.
Our Ali un Waliullah Bacha Kar Layi.
Ahad Jo Main Ne Kiya Tha Woh Nibhaya Baba.
Koan Sa Dar Hai Jahan Aap Ki Beti Na Gayi.
Are Baat Sunna Tu Kuja Youn Hoi Izzat Meri.
Koi Darwaze Se Bahir Nahi Aya Baba.
Khud Yeh Dekha Hai Tere Sheher Ki Dewaron Ne.
Kaisi Gurbat Thi Hathon Mein Sitam Daron Ne.
Rasiyaan Band Ke Haider Ko Phiraya Baba.
Jis Jaga Aap Ne Ruk Ruk Ke Ijazat Mangi.
Wahan Gustakh Musalmano Ne Baiyat Mangi.
Arey Koi Sholay Tu Koi Lakriyaan Laya Baba.
Arsh Our Farsh Pe :MUHSIN: Howa Kuhram Bapa.
Jis Ghari Ro Ke Wilayat Ki Shaheeda Ne Kaha.
Mujh Ko Hans Hans Ke Zamane Ne Rulaya Baba.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16:
Ayyam-e-Fatima Noha 2015-16
#TeriUmmatNeMereDarKoJalayaBaba
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com