Aey Baba Mera Ghar Jalaya Gaya Sarwar Raza Karbalai Lyrics In Urdu 2023
Aey Baba Mera Ghar Jalaya Gaya Sarwar Raza Karbalai.
Yeh Zahra Ne Ro Kar Kiya Marsiya.
Aye Baba Mera Ghar Jalaya Gaya.
Jalaya Gaya Ghar Mera Baba Jaan.
Sitam Main Karon Our Kaisay Biyaan.
Mujhe Sans Lena Bhi Dushwar Hai.
Meri Toor Dali Hain Sab Pasliyaan.
Marne Ki Karti Hoon Ab Main Dua.
Gawahon Ko Jhutlaya Oss Ne Mere.
Aye Baba Sand Ke Bhi Tukray Kiye.
Yeh Dekha Tu Roti Rahi Main Bohat.
Mere Betay Tukron Ko Chuntay Rahe.
Main Roti Rahi Tu Woh Hansta Raha.
Humein Jab Sataya Gaya Be Sabab.
Bataon Main Kaisay Howa Kya Ghazab.
Gala Mere Shohar Ka Bandha Gaya.
Kiya Na Kissi Ne Bhi Unn Ka Adab.
Main Deti Rahi Bas Tumhein Hi Sada.
Mere Roney Par Bhi Hain Pabandiyaan.
Main Bait Al-Huzan Mein Pari Hoon Yahan.
Na Dekhey Ali Mera Zakhmi Badan.
Lahu Ke Chupati Hoon Unn Se Nishaan.
Yeh Ajar-e-Risalat Mujhe Mil Gaya.
Wasiyat Yeh Meri Suno Murtaza.
Na Aaye Janazay Mein Qatil Mera.
Adalat Mein Khaliq Ke Main Robaro.
Na Bakhshoon Gi Oss Ko Kabhi Ba Khuda.
Khuda Ab Karega Mera Faisla.
Yeh :SARWAR: Sada Gham Mein Tere Rahe.
Yeh :ASIF: Sada Tere Nohay Likhe.
Bohat Gham Bara Hai Khuda Ki Qasam.
Koi Kis Tarha Se Ada Haq Karey.
Humein Apne Rozay Ki Ziyarat Kara.
Poet: :Asif Ali Asif:
Naat Khuwan: :Sarwar Raza Karbalai:
Manqabat Volume: :Sarwar Raza Karbalai 2022-23:
#AeyBabaMeraGharJalayaGaya
#NaatLyrics
#tajpoint