Ye Meri Aankh Ke Kashkool Mein Jo Pani Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
یہ میری آنکھ کے کشکول مِیں جو پانی ہے
Azay-e-Aal-e-Payambar Ki Meharbani Hai.
Yeh Aik Nane Mujahid Ki Hai Atta Kardah.
Nabi Ke Dein Pe Iss Waqt Jo Jawani Hai.
Sikha Rahi Hai Saleeqe Jo Sarfarazi Ke.
Waja Sarshat Bahatar Ki Wo Kahani Hai.
Hamari Aankhein Muharam Mein Hum Se Pochti Hain.
Na Jane Koan Se Darya Ki Yeh Rawani Hai.
Bhujha Diye The Diye Shab Gaye Hussain Ne Jo.
Jahan Mein Aaj Unhi Ki Tu Zofshani Hai.
Main Sar Hatheli Pe Rakh Kar Salam Likhta Hoon.
Mujhe Yaqeen Hai Keh Yeh Jan Aani Jani Hai.
Mere Wajood Mein Rach Bas Giya Hai Zikr-e-Hussain.
Issi Liye Mere Lehje Mein Khush Biyani Hai.
Azeez Kyun Na Ho Mujh Ko Ye Daag Matam Ka.
Gham-e-Hussain Ki Ye Moatbar Nishani Hai.
Agarche Sabar Ke Sahil Pe Main Niya Hoon Magar.
Gham-e-Hussain Se Nisbat Bohat Porani Hai.
Poet: :Irfan Sahil Gujranwala:
#YeMeriAankhKe
#SalamLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com