Ali un Waliullah Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2014
Ali un Waliullah Mir Hasan Mir.
Zahra Se Pocho Kya Hai Ali un Waliullah.
Iss Ke Liye Batool Ka Do Bar Ghar Jala.
Baghdad Sham-o-Kofa Khorasan-o-Karbala.
Umat Ne Fatima Ko Kahan Dukh Nahi Diya.
Sab Kuch Lutaya Dein Ki Hifazat Ke Wastay.
Aray zahra Ujar Gayi Hai Wilayat Ke Wastay.
Darbar Mein Bachane Gayin Fatima Zahara Ali un Waliullah.
Sunta Na Tha Madine Mein Zahra Ki Koi Baat.
Le Kar Hassan Hussain Ko Har Subha Apne Sath.
Ghar Ghar Pe Yaad Ja Ke Dilati Thi Syeda Ali un Waliullah.
Gham Mein Abu Turab Ke Ghut Ghut Ke Mar Gayi.
Dar Pardah Fatima Ki Wasiyat Yehi Tu Thi.
Aye Na Wo Janaze par Jis Ne Nahi Parha Ali un Waliullah.
Toti Hoi Thi Pasliyaan Dam Tha Ruka Howa.
Tha Syeda Pe Jalta Howa Dar Gira Howa.
Phir Bhi Lab-e-Batool Pe Jari Thi Yeh Sada Ali un Waliullah.
Zainab Pukari Aye Mere Mazloom Be Watan.
Wadah Tumhari Lash Pe Karti Hai Yeh Behan.
Ik Din zaror Sham Ki Galiyon Mein Gonje Ga Ali un Waliullah.
Aye Najaf Se Sham-e-Ghareeban Mein Jab Ali.
Zainab Yeh Keh Ke Apne Padar Se Lipat Gayi.
Khanjar Tale Bhi Bahi Ke Zakhmi Labon Pe Tha Ali un Waliullah.
Boli Sakina Aya Jo Zindaan Mein Sheh Ka Sar.
Kaise Bataon Sham Ka Kaise Kiya Safar.
Gir Gir Ke Khoon Kano se Deta Raha Sada Ali un Waliullah.
Zindaan Mein Aik Qabar Banane Ke Wastay.
Humsheer Ka Janaza Uthane Ke Wastay.
Nad-e-Ali Ki Shakal Mein Sajjad Ne Parha Ali un Waliullah.
Na Mehramo Ki Bheer Thi Darbar-e-Shaam Mein.
Zainab Ne De Keh Khutba Zuban-e-Imam Mein.
Be Waqt Ki Azaan Mein Dabne Nahi Diya Ali un Waliullah.
Maa Ki Lahad Pe Bain :TAKALLUM: The Beti Ke.
Pehlu Pe Zakhm Kha Ke Bachaya Tha Aap Ne.
Mein Ne Rida Luta Ke Bachaya Hai Ba Khuda Ali un Waliullah.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2014-15:
#AliunWaliullah
#NohayLyrics
#tajpoint