Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2000

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2000

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya.

Lo Ho Gayi Rehai Lo Qafila Chala.
Sar Jab Har Aik Shaheed Ka Sajjad Ko Mila.
Tab Marqad-e-Sakina Pe Sajjad Ne Kaha.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya.
Baba Tumhara Aaya Giya Waqt Neend Ka.

Seene Pe Sone Wali Mati Pe So Gayi.
Baba Ko Rote Rote Jo Khamosh Ho Gayi.
Ro Ro Keh Maa Ne Qabar-e-Sakina Pe Yeh Kaha.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya.

Bibi Karo Salam Adab Ka Muqam Hai.
Bibi Tere Sirhane Sheh-e-Tishna Kam Hai.
Aye Jan Jaldi Badlo yeh Kurta Phata Howa.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya.

Baba Ko Dhondti Thin Sakina Utho Utho.
Raton Ko Jagti Thin Sakina Utho Utho.
Lo Aa Gaye Hain Baba Aye Jaan Jaag Ja.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya.

Baba Ke Paas Sona Na Sona Zameen Par.
Rakho Labon Ko Lab Par Jabeen Ko Jaben Par.
Aada Ki Ghurkiyon Ka Zamana Guzar Giya.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya.

Paigham Roz Deti Thin Ammo Ke Naam Tum.
Roti Thin Yaad Kar Ke Unhein Subh-o-Sham Tum.
Jago Keh Ja Rahe Hain Jahan Sote Hain Chacha.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya.

Kis Tarha Soyi Bali Sakina Na Pochiye.
Ranj-o-Alam Se Phatta Hai Seena Na Pochiye.
Jagi Na Phir Kabhi Woh Bohat Maa Ne Di Sada.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya.

Sadiyaan Guzar Gayi Hain Magar :SARWAR-O-REHAN:.
Zindan-e-Sham Roye Tu Rota Hai Aasman.
Ab Bhi Pukarte Hain Yehi Shah-e-Karbala.
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1999-2000:

#JaagSakinaJaag
#NohayLyrics
#tajpoint

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2000 Write Up Poster Image

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2000

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!