Musa Ibn Jaffer Nadeem Sarwar 1-6 Lyrics In Urdu 2014
Musa Ibn Jaffer Nadeem Sarwar 1-6
Kaisa Qaidi Hai Ke Marne Pe Bhi Aazad Nahi.
Kaisi Ghurbat Hai Janaze Pe Bhi Faryad Nahi.
Mere Mula Pe Hoi Koan Si Be-Daad Nahi.
Haye Nazdeek Koi Rone Ko Aulaad Nahi.
Be-Kas-o-Tanha Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Malka-e-Qum Ka Padar Wali-e-Mashad Ka Padar.
Seerat-e-Mustafa Bhi Waris-e-Hooz-e-Kausar.
Haye Mazloomi Janaza Hai Sar-e-Rah-e-Guzar.
Jab Ke Maujood Hai Rone Ko Pisar Our Dukhtar.
Pul Pe Tha Lasha Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Qaid Mein Chodah Baras Kaise Guzare Hoon Gaye.
Sorat-e-Ashk Musale Pe Sitare Hoon Gaye.
Tauq-o-Zanjeer Bhala Kis Ne Utare Hoon Gaye.
Ghamzada Arsh Pe Quran Ke Pare Hoon Gaye.
Kaise Doon Pursa Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Qaid-e-Tanhai Thi Our Musi-e-Kazim Mula.
Khatam Binai Thi Our Musi-e-Kazim Mula.
Sitam Aarai Thi Our Musi-e-Kazim Mula.
Maut Ghabrai Thi Our Musi-e-Kazim Mula.
Waqt Kara Tha Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Kasrat-e-Sajda Se Gathri Sa Badan Aap Ka Tha.
Loag Kehte The Musalay Pe Hai Kapra Sa Para.
Par Qaza Ho Na Saka Waqt-e-Shahadat Sajda.
Dam Ba-Dam Aati Rahi Arsh Se Awaz-e-Khuda.
Dair Na Karna Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Hakim-e-Waqt Ne Kaisa Yeh Sitam Dhaya Hai.
Qabar Mein Madar-e-Hasnain Ko Tarpaya Hai.
Zehar Khurmo Mein Mere Mula Ko Pilwaya Hai.
Jasad-e-Pak Ko Mazdoron Se Uthwaya Hai.
Roti Thin Zahra Ya Musa Ibn-e-Jafar.
25 Rajab Shahadat Imam Musa Kazim Noha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2014-15:
#MusaIbnJaffer
#NohayLyrics
#tajpoint