Musa Ibn Jaffer Nadeem Sarwar 7-10 Lyrics In Urdu 2015
Musa Ibn Jaffer Nadeem Sarwar 7-10.
Koi Aisa Na Tha Maiyat Ko Kafan Pehnaye.
Mashad-o-Qum Mein Koi Ja Ke Khabar Pohanchaye.
Rone Wale Na The Mazdoor Janaza Laye.
Giriya Karne Ko Janaze Pe Parinday Aaye.
Aasmaan Roya Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Ibn-e-Jafar Na Aseeri Pe Sitam Par Roye.
Tauq Par Roye Na Zanjeer-e-Qadam Par Roye.
Haan Agar Roye Tu Bas Shah-e-Ummam Par Roye.
Apne Jad Abid-e-Bemar Ke Gham Par Roye.
Parhte The Noha Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Rote Rehte The Sheh-e-Karb-o-Bala Ke Gham Mein.
Bandagi Se Howay Farig Tu Rahe Matam Mein.
Akbar-o-Qasim-o-Abbas The Chashm-e-Nam Mein.
Saans Ki Doriyaan Toti Hain Issi Aalam Mein.
Ya Mere Mula Ya Musa Ibn-e-Jafar.
Assalam Aye Mere Mazloom Ghareeb-ul-Ghuraba.
Assalam Aye Rasan-o-Joor Mein Paband-e-Jafa.
Assalam Aye Saraf-e-Bab-e-Hawaij Mula.
Alvida :SARWAR-O-REHAN: Ke Mula Aaqa.
Detay Hain Pursa Ya Musa Ibn-e-Jafar.
25 Rajab Shahadat Imam Musa Kazim Noha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2014-15:
#MusaIbnJaffer
#NohayLyrics
#tajpoint