Bain ul Harmain 3-6
بین الحر مین3-6
Is Zameen Par Chale Aana Hi Hai Mairaj-e-Bashar.
Sidra-e-Ishq Hai Kab Aam Hai Yeh Rahguzar.
Tair-e-Aqal Ke Jalte Hai Yehin Par Sheh Par.
Farsh Ban Jata Hai Khud Arsh Yahan Par Aakar.
Qadmon Se Na Chal Ja Sar Ke Bal.
Are Rehti Hai Yahan Umm-ul-Hasnain(AS).
Teri Qismat Se Woh Qismat Ne Sitara Dekha.
Khalq Kar Ke Tujhe Khaliq Ne Dobara Dekha.
Sab Zameeno Pe Faqat Tera Ijara Dekha.
Our Wahin Par Yeh Zamane Ne Nazara Dekha.
Haan Daman Mein Tere Ik Sath Bhi Gar.
Aein Tu Sama Jaein Konain.
Sar Zameen Par Teri Hoti Hai Bashar Ki Mairaj.
Dekh Lena Tujhe Hoti Hai Nazar Ki Mairaj.
Tujh Pe Sajday Se Howa Karti hai Sar Ki Mairaj.
Khatam Hai Tujh Pe Bulandi Ke Safar Ki Mairaj.
Kya Samjhein Gaye Woh Mairaj Teri.
Jo Samjhe Nahi Mairaj Ki Ain.
Kahin Jate Howay Dekha Hi Nahi Dono Ko.
Ishq Ne Dekha Hai Barson Se Wahin Dono Ko.
Soratan Jante Hain Ahl-e-Yaqeen Dono Ko.
Dhondne Jao Na Dunya Mein Kahin Dono Ko.
Aashoor Ke Din Matam Karte.
Aein Gaye Nazar Tum Ko :MIRAIN:.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com