Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar.

Quran Mein Likha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.
Sab Ne Yehi Kaha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.
Har Had Se Mawra Hai ALLAH Bohat Bara Hai.
Sab Ne Yehi Kaha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Yeh Mehro Mah-o-Anjum Daryaon Mein Talatum.
Chalti Hoi Hawaein Aawaz Ka Taranum.
Khush Rang Tairoon Ka Phaila Howa Tabasum.
Tarteeb Waar Gunchay Aisay Keh Rashk-e-Anjum.
Yeh Kun Ka Mojza Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Mati Ke Paikaron Mein Tehreek Dalta Hai.
Soye Falak Zameen Pe Taray Ochalta Hai.
Pataal Se Jawahir Woh Hi Nikalta Hai.
Parwardigar Woh Hai Dunya Ko Palta Hai.
Har Had Se Mawra Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Konain Mein Ayyaan Hai Ya Rab Jo Noor Tera.
Hai Taab Kis Nazar Mein Dekhey Zahoor Tera.
Tasbeeh Khawahaan Hum Kya Hai Koh-e-Toor Tera.
Jis Ko Bhi Mil Gaya Hai Maula Shaoor Tera.
Woh Mustafa Howa Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Tu Ba Kamal Jaisa Waisay Tere Payamber.
Sab Tere Madah Khuwaan Hain Sab Hi Tere Sana Gar.
Kya Badshah-o-Qudsi Kya Muflis-o-Gadagar.
Inn Sari Hastiyon Mein Woh Aamina Ka Dilbar.
Woh Bhi Tu Lab Kusha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Qausain Ki Thi Manzil Hairan Anbiya They.
Jibreel Ruk Gaye They Ik Marhalay Pe Aa Ke.
Rastay Banaye Tu Ne Parday Hata Hata Ke.
Mairaj Par Muhammad Pohanchay Teri Riza Se.
Ik Shoor Gonjta Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Jaisay Hi Guftgu Ki ALLAH Ne Nabi Se.
Bolay Nabi Yeh Lehja Marboot Hai Ali Se.
Hairaan Hoye Muhammad Iss Lehja-e-Khafi Se.
Kya Guftgu Hai Meri ALLAH Ke Wali Se.
Yeh Raaz Gaib Ka Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

ALLAH Ki Barai Youn Tu Sabhi Ne Ki Hai.
Lekin Jo Karbala Ki Tareekh Bolti Hai.
Nook-e-Sina Se Rab Ki Tauseef Ho Chuki Hai.
Takbeer Zair-e-Khanjar Shabeer Ne Kahi Hai.
Mazloom Ki Sada Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Kis Ne Kiya Hai Sajdah Khanjar Talay Jahan Mein.
Kantay Paray Hoye They Jab Pyas Se Zabaan Mein.
Jab Aag Lag Rahi Thi Zahra Ke Gulistaan Mein.
Chup Chup Ke Chand Taray Rotay They Aasmaan Mein.
Maula Ne Tab Kaha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Kya Nafas-e-Mutmaina Sajjad Ne Tha Paya.
Ik Ik Sitam Pe Jis Ne Sajday Mein Sar Jhukaya.
Tauq-e-Garaan Pehan Kar Shikwa Na Lab Pe Laya.
Kunbay Ko Apne Le Kar Ta Sham Tha Jo Aaya.
Har Gaam Par Kaha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Seene Pe Barchi Kha Keh Akbar Ne Yeh Sada Di.
Yeh Aakhri Hai Manzil Khushnodi-e-Khuda Ki.
Khak-e-Shifa Bana Di Karb-o-Bala Ki Mati.
Bolay :REHAN-o-SARWAR: Tareekh Karbala Bhi.
Maula Ne Sach Kaha Hai ALLAH Bohat Bara Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1995-96:

#AllahBohatBaraHai
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar

Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar Lyrics

Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996 Write Up Poster Image

Allah Bohat Bara Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!