Hum Kaise Chale Jaein Ashab Mir Hasan Lyrics 2011
Hum Kaise Chale Jaein Ashab Mir Hasan Write Up
Aashoor Ki Shab Karte The Ashab Yeh Noha.
Hum Kaise Chale Jaein Tumhein Choor Ke Mula.
Koze Liye Hathon Mein Hain Masoom Se Bache.
Inn Piyason Ko Pani Ki Bari Aas Hai Hum Se.
Mar Jaein Gaye Yeh Gar Humein Jate Howay Dekha.
Mana Keh Zarorat Nahi Hazrat Ko Hamari.
Abbas Se Bhai Hai Hifazat Ko Tumhari.
Zahra Ko Magar Phir Bhi Hai Munh Hum Ne Dikhana.
Aankhon Mein Nazar Aati Hai Bachi Ki Ghareebi.
Darti Hai Tanhai Na Barh Jaye Padar Ki.
Aa Aa Ke Humein Takti Hai Hasrat Se Sakina.
Jis Rooz Se Aabad Kiya Tum Ne Yeh Jangal.
Ik Bibi Yahan Roti Hai Raton KO Musalsal.
Lagta Hai Lahad Choor Ke Khud Ayi Hain Zahra.
Kya Aalm-e-Ghurbat Nabi Zadi Pe Para Hai.
Kehne Ki Nahi Baat Magar Hum Ne Suna Hai.
Hai Aap Ki Zainab Ko Bohat Hum Pe Bharosa.
Seena Ali Akbar Ka Bohat Choom Rahe Ho.
Jo Tum Pe Guzarti Hai Woh Maloom Hai Hum Ko.
Hum Loag Bhi Tu Sahib-e-Aulaad Hai Aaqa.
:AKBAR: Jo Diye Khaime Mein Ghazi Ne Jalaye.
Tha Aisa Sama Sheh Ke Bhi Aanso Nikal Aaye.
Talwar Galay Par Rakhe Har Shaks Tha Kehta.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2011-12:
#HumKaiseChaleJaeinAshab
#NohayLyrics
#tajpoint