Aye Zameen Bais-e-Takreem Hain Ashab-e-Ali Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اے زمیں باعثِ تکریم ہیں اصحابِ علیؑ
Aye Bashar Laiq-e-Tazeem Hain Ashab-e-Ali.
Husan-o-Kirdar Ki Taqseem Hain Ashab-e-Ali.
Fard Hote Hoye Tanzeem Hain Ashab-e-Ali.
Inn Ko Main Kaise Kahoon Bujhte Sitaron Ki Tarha.
Mujh Ko Lagte Hain Yeh Quran Ke Paron Ki Tarha.
Woh Jo Fakhar-e-Bashreat Ho Wohi Hai Insaan.
Jis Ke Kirdar Ko Jab Dekhe Tu Khush Ho Rehmaan.
Daswein Darjay Pe Nazar Aati Ho Satah-e-Emaan.
Aisi Manzil Pe Nazar Aaye Janab-e-Salmaan.
Jab Woh Nalain-e-Ali Chone Ko Jhuk Jata Hai.
Mujh Ko Salman Suleman Nazar Aata Hai.
Khum Mein Amar Ne Man Kunto Ka Paigham Suna.
Jab Talak Jeeta Raha Zikar-e-Ghadeer Oss Ne kaha.
Mar Ke Bhi De Gaya Siffeen Ke Baghi Ka Pata.
Hum Ko Amar Ki Seerat Se Yehi Dars Mila.
Marte Marte Jo Zabaan Nam-e-Ali Leti Hai.
Maut Aison Ko Bhi Jeene Ki Dua Deti Hai.
Aik Mesum Keh Jo Tha Mula Ali Ka Shaida.
Jis Ne Medan-e-Khatabat Ko Niya Rang Diya.
Be-Zabaan Hote Hoye Guftgu Karta Hai Khuda.
Be-Zabaan Ho Gaya Mesum Bhi Sar-e-Dar-e-Jafa.
Yeh Hai Mesum Yeh Zabaan Katne Se Kab Darta Hai.
Yeh Tu Khaliq Ki Tarha Zikar-e-Ali Karta Hai.
Inn Ka Kirdar Moarikh Jonhi Dikhlata Hai.
Koi Yousuf Koi Haron Nazar Aata Hai.
Jab Mera Tair-e-Fikar In Ki Taraf Jata Hai.
Aa Ke Wapis Woh Mere Qalab Se Farmata Hai.
Shakal-e-Insaan Mein Yeh Anwar-e-Jali Ho Jate Hain.
Khatam Hoti Na Nabowat Tu Nabi Ho Jate.
Zikar-e-Ashab-e-Ali Dil Mein Samata Jaye.
Likhe :MAJID: Tu :WAJHI: Oss Ko Sunata Jaye.
Zikar Aise Hi Wafadaron Ka LIkha Jaye.
Tazkira Lab Pe Kissi Ghair Ka Kyun Aa Jaye.
Yeh Sada Peeche Payamber Ke Rahe Aagay Nahi.
Our Kabhi Jang Ka Moqa Ho Tu Yeh Bhagay Nahi.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
#AshabeAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com