Sham Ke Bazar Mein Hai Charagaan Chaar Lyrics 2017
Sham Ke Bazar Mein Hai Charagaan Chaar Write Up
Sham Ke Bazar Mein Hai Charagaan Chaar So.
Be-Rida Bint-e-Ali Kar Rahi Hai Guftgo.
Imtehaan Ki Pehli Manzil Sham Ka Bazar Hai.
Ik Rasan Barah Galay Our Abid-e-Bemar Hai.
Sar Chupaye Kis Tarha Mustafa Ki Aabro.
Ashk Tu Karb-o-Bala Se Sham Tak Sab Beh Gaye.
Ab Talak Tu Sham Ki Tareeki Mein Parday Reh Gaye.
Aankh Se Aanso Nahi Ab Ke Barse Ga Laho.
Roshni Kuch Iss Liye Chubhti Rahi Sajjad Ko.
Oss Boreedah Sar Ka Jane Sham Mein Kya Hal Ho.
Aa Gayi Abbas Ke Jab Sakina Robaro.
Kal Dar-e-Zahra Jala Ke Jashn Jo Barpa Howa.
Phir Sar-e-Karb-o-Bala Woh Jashn Dohraya Giya.
Hai Sar-e-Bazar Bhi Woh Hi Manzar Hobaho.
Youn Tu :AKBAR: Iss Charagaan Ne Bohat Takleef Di.
Mutmain Iss Baat Par Thi Shani-e-Zahra Bari.
Shab Ke Parde Mein Chupe Gi Na Meri Guftgu.
Poet: :Hasnain Akbar:
Soz: :Babu Khan:
Syed Miran Muhammad Baqir Party Behlol Dana Sialkot
#ShamKeBazarMein
#NohayLyrics
#tajpoint