Hai Johar-e-Sifaat-e-Nabowat Yehi Alam 5-8 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
عَلَم (مسدس) بند۵تا۸
Anwar-e-Ahl-e-Bait Ki Tanveer Hai Alam.
Do Bazo-e-Buredah Ki Tameer Hai Alam.
Pani Ki Bond Bond Pe Tehreer Hai Alam.
Abbas-e-Naamdar Ki Tasveer Hai Alam.
Har Qalb-e-Haq Pasand Ka Akas Ho Giya.
Ab Tu Alam Ka Nam Hi Abbas Ho Giya.
Makhzan Atta Ka Manba-e-Jood-o-Sakha Alam.
Maskeeno Ka Ghareebon Ka Hai Aasra Alam.
Qaidi Ko Hur Banaye Fana Ko Baqa Alam.
Har Toote Dill Ki Aas Ghamo Ki Dawa Alam.
Thama Alam Tu Dill Mein Yeh Ahsas Aa Giya.
Hathon Mein Jaise Daman-e-Abbas Aa Giya.
Abbas Azm-o-Himat-o-Zabt-e-Waga Ka Naam.
Abbas Itba-e-Sheh-e-Karbala Ka Naam.
Abbas Hai Jahan-e-Wafa Ke Khuda Ka Naam.
Abbas Mudua-e-Dill-e-Fatima Ka Naam.
Taat Guzar Bad Sheh-e-Mashreqain Hai.
Abbas Fatima Ki Nazar Mein Hussain Hai.
Hai Parcham-e-Shaoor Ki Har Soo Kahaniyaan.
Amrica Our Jazair-e-Euorup Ki Kehkishaan.
Har Mulk Mein Pohanch Giya Abbas Ka Nishaan.
:MAJID: Baqool-e-Najam-e-Sukhan Sanj-o-Nuqta Daan.
Abbas Namwaar Ka Alam Le Ke Jaein Gaye.
Hum Chand Par Hussain Ka Gham Le Ke Jaein Gaye.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2004-05:
#Alam
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com