Hai Johar-e-Sifaat-e-Nabowat Yehi Alam 1-4 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
عَلَم (مسدس) بند ۱تا۴
Hai Manzalat Shanas-e-Imamat Yehi Alam.
Ha Hum Mizaj-e-Bazm-e-Taharat Yehi Alam.
Hai Rehnumaye Mulk-e-Shifat Yehi Alam.
Mehshar Mein Dast-e-Shafa-e-Mehshar Pe Aaye Ga.
Panje Se Iss Ke Kya Koi Panja Milaye Ga.
Washams Walqamar Ka Bhi Panje Mein Noor Hai.
Walfajar Ki Sehar Ka Bhi Panje Mein Noor Hai.
Walnajam Se Samar Ka Bhi Panje Mein Noor Hai.
Walail Ke Safar Ka Bhi Panje Mein Noor Hai.
Panja Shabeeh-e-Dast-e-Imam-e-Anam Hai.
Matlab Yeh Hai Ke Bait-e-Fasiq Haram Hai.
Sibt-e-Rasool Waris-e-Aousaf-e-Anbiya.
Kehte The Har Nabi Ki Wirasat Hai Yeh Lawa.
Yeh Oss Ko Doon Ga JO Ho Shujat Mein Murtaza.
Jis Mein HO Zabt Josh Zakawat Haya Wafa.
Islam Ke Waqar Ka Akas Hai Alam.
Matlab Yeh THa Wirasat-e-Abbas Hai Alam
Ghazi Hai Noor-e-Alam Ujala Hai Yeh Alam.
WOh Mah-e-Hashmi Hain Tu Hala Hai Yeh Alam.
Shair-e-Khuda Ki Gaud Ka Pala Hai Yeh Alam.
Ab Shair Ke Pisar Ne Sanbhala Hai Yeh Alam.
Panje Mein Hai Chamak Dil-e-Ghazi Ke Noor Se.
Boo-e-Wafa Phareray Mein Aati Hai Door Se.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2004-05:
#HayatMein
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com