Paighambar-e-Aalam Ki Tasveer Ali Akbar Lyrics In Urdu 2004
Paighambar-e-Aalam Ki Tasveer Ali Akbar.
Shabir Ki Aankhon Ki Tanveer Ali Akbar.
Walnajam Si Aankhein Hain Walail Se Gaiso Hain.
Zainab Ki Duaon Ki Taseer Ali Akbar.
Husan-e-Rukh-e-Yousuf Tu Bas Khuwab-e-Zulekha Hai.
Khuwab-e-Rukh-e-Yousuf Ki Tabeer Ali Akbar.
Haider Ka Muhammad Ka Hasnain Ka Zahra Ka.
Jo Noor Hai Unn Sab Ki Zanjeer Ali Akbar.
Lab Phool Dahan Khushbu Abro Bhi Hilali Hain.
Yani Yad-e-Qudrat Ki Tameer Ali Akbar.
Qamat Hai Muhammad Ki Qowat Shah-e-Mardaan Ki.
Quran-e-Imamat Ki Tehreer Ali Akbar.
Islam Hi Mar Jata Gar Jan Ko Dene Mein.
Ik Lamhe Ko Kar Dete Takheer Ali Akbar.
Lagta Tha Muhammad Hain Mehrab-e-Ibadat Mein.
Jab Kehte The Masjid Mein Takbeer Ali Akbar.
Khon-e-Abu Talib Se Nisbat Ki Gawahi Hai.
Mati Ko Kiya Tum Ne Akseer Ali Akbar.
Zainab Ke Waseele Se :REHAN: Dua Mango.
Lamhoon Mein Badal Dein Gaye Taqdeer Ali Akbar.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2004-05:
#AliAkbar
#ManqabatLyrics
#tajpoint