Bulbulon Ke Honton Par Phir Wohi Tarana Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Bulbulon Ke Honton Par Phir Wohi Tarana Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بلبلوں کے ہونٹوں پر پھر وہی ترانہ ہے

Lo Bahar Aa Pohanchi Ab Khizaan Ko Jana Hai.

Aaj Phir Se Batil Ko Keh Ke Yeh Darana Hai.
Haq Badal Nahi Sakta Sahib-e-Zamana Hai.
Sahib-e-Zamana Ko Iss Liye Bhi Aana Hai.
Youn Namaz Parhte Hain Esa Ko Seekhana Hai.
Lail-e-Qadar Mein Jibreel Kehte Hain Yeh Mehdi Se.
Aap Ki Khudai Hai Aap Ka Zamana Hai.
Aap Se Jo Mill Paon Khud Main Sadqay Ho Jaon.
Chasham-e-Bad Se Aye Mula Aap Ko Bachana Hai.
Dekhiye Shabab Unn Ka Hobaho Muhammad Hain.
Sar Pe Sabz Amama Jora Bhi Shahana Hai.
Dushmanan-e-Ahl-e-Bait Chun Ke Laye Jaein Gaye.
Zulfiqar-e-Haider Ki Pyas Bhi Bhujana Hai.
Jibraeel Ko Inn Ke Ghar Ka Hai Pata Maloom.
Chodah So Bars Se Tu Dar Pe Aana Jana Hai.
Hai Naqab Mein Chehra Yeh Bhi Aik Qayamat Hai.
Jab Naqab Ultein Gaye Hashar Tab Bhi Aana Hai.
Az Rasool Ta Mehdi Aik Fikar Ik Kirdar.
Jiss Mein Sab Muhammad Hoon Ik Yehi Gharna Hai.
Asal Mein Tu Yeh :MAJID: Talib-e-Tawaja Hai.
Manqabat Tu Aye Mula Iss Ka Ik Bahana Hai.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2005-06:
#BulbulonKeHontonPar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment