Kanpte Honton Se Jab Main Ne Kaha Hai Abbas Lyrics In Urdu 2003
Kanpte Honton Se Jab Main Ne Kaha Hai Abbas.
Dastgeeri Ko Ali Ban Ke Chala Hai Abbas.
Koi Kya Samjhe Ga Iss Ke Lal Ki Qadar-o-Qeemat.
Barsoon Dhonda Hai Ali Ne Tu Mila Hai Abbas.
Minbar-e-Haq Ke Musallay Pe Ali ke Aanso.
Jama Karte The Farishte Tu Bana Hai Abbas.
Loriyaan Deein Kabhi Fizza Ne Kabhi Zainab Ne.
Yani Aagosh Mein Zahra Ki Pala Hai Abbas.
Fatima Ko Jo Atta Karna Tha Mohsin Ka Badal.
Haq Ne Khud Apne Khazane Se Diya Hai Abbas.
Yaan Kissi Shimar Ka Jadoo Nahi Chalne Wala.
Mosa-e-Waqt Ke Hathoon Mein Assa Hai Abbas.
Main Ne Darya Pe Nazar Ki Tu Yeh Mehsoos Howa.
Jaise Har Mauj Ke Seene Pe Likha Hai Abbas.
Dosto Oss Ki Wafaon Ka Sabaq Bhi Dena.
Tum Ne Bache Ka Agar Naam Rakha Hai Abbas.
Ab Tu Jiss Hath Mein Dekho Nazar Aata Hai Alam.
Yeh Tere Daste Buredah Ki Atta Hai Abbas.
Na Howa Our Kissi Qaum Ko Abbas Naseeb.
Fakhar Hai Hum Ko Humein Haq Se Mila Hai Abbas.
Aakhri Dein Ke Muhammad Jo Nabi The :SHAIQ:.
Aakhri Dein Ka Alamdar Howa Hai Abbas.
Azafai Ashar Ansar Azmi:
Naam Jis Ne Tera Abbas Rakha Hai Abbas.
Aik Ik Harf Mein Taeed Khuda Hai Abbas.
Oss Ke Hi Hathoon Ne Godha Hai Khamir e Aadam.
Jis Ki Aagosh Mein Parwan Charha Hai Abbas.
Kaun Kehta Hai Keh Mashkeza Alam Mein Hai Bandha.
Tere Bazu Pe Yeh Taveez-e-Wafa Hai Abbas.
Pehle Main Baad Mein Ghabra Gayi Mushkil Mujh Se.
Kanptay Honton Se Jab Main Ne Kaha Hai Abbas.
Mere Hathoon Se Mere Munh Se Mehak Jati Nahi.
Main Ne Jis Din Se Likha Our Parha Hai Abbas.
Fikar :ANSAR: Ko :WAJIH: Dekh Ke Mehsos Howa.
Saya Afgan Tere Parcham Ki Hawa Hai Abbas.
Poet: :Shaiq Merathi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2003-04:
Manqabat Khuwan: :Syed Askari Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Askari Hasan Zaidi 2024-25:
#KahaHaiAbbas
#ManqabatLyrics
#tajpoint