Hargiz Nahi Hai Matam o Sajda Alag Alag Lyrics 2008

Hargiz Nahi Hai Matam o Sajda Alag Alag Lyrics 2008

Hargiz Nahi Hai Matam o Sajda Alag Alag.

Dono Mein Hai Hussain Ka Jalwa Alag Alag.

Haider Ke Munkiron Se Hai Momin Kuch Aise Door.
Murdoon Se Jaise Rehta Hai Zinda Alag Alag.

Matam Ka Bhi Nishan Hai Sajdon Ka Bhi Nishan.
Dono Karein Gaye Qabar Ko Kheera Alag Alag.

Masjid Mein Abad, Ran Mein Asad, Arsh Par Khuda.
Haider Ka Har Jagah Pe Hai Lehja Alag Alag.

Hur Ba Nasab Tha Our Tha Bad Nasal Hurmala.
Dono Ka Naam Aik Tha Shajrah Alag Alag.

Sheh Soye Kaba Sajda Na Karte Jo Waqt-e-Asar.
Hota Tamam Firqoon Ka Qibla Alag Alag.

:SAQLAIN: Kis Tarha Rahein Abbas Sheh Se Door.
Hota Nahi Hai Jism Se Saya Alag Alag.

Poet: :Saqlain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2008-09:

#MatamoSajda
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Hargiz Nahi Hai Matam o Sajda Alag Alag Lyrics 2008 Write Up Poster Image

Hargiz Nahi Hai Matam o Sajda Alag Alag Lyrics 2008

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!