Hukam-e-Khuda Hai Aye Paighamber Kardo Lyrics Urdu
Hukam-e-Khuda Hai Aye Paighamber Kardo Ab Aylan-e-Ghadeer.
Sab Ka Mula Ibn-e-Abu Talib Ho Ga Sultan-e-Ghadeer.
Cheen Lo Sab Auntoon Ki Kajaway our Ik Minber Banwao.
Man Kunto Mula Ka Kalma Sab Ki Zabaan Se Parhwao.
Dekho Adhora Rehne Na Paye Aaj Koi Arman-e-Ghadeer.
Aik Hi Noor Ke Dono Tukre Jalwa Figan Hain Minber Par.
Lafzein Badal Doon Dast-e-Khuda Hai Youn Dast-e-Paighamber Par.
Jaise Ho Quran-e-Risalat Par Rakha Quran-e-Ghadeer.
Koan Hai Apna Koan Paraya Yeh Samjhane Ki Khatir.
Jo Hain Saqeefai Unn Ki Auqaat Batane Ki Khatir.
Har Athara Zilhaj Ko Aata Hai Tofan-e-Ghadeer.
Dushman-e-Haider Ki Rakhi Hai Khaliq Ne Kuch Aisi Saza
Qabar Ki Manzil Mein Bhi Unn Ko Chain Nahi Lene De Ga.
Aik Abu Talib Ka Namak Our Dosra Dastarkhuwan-e-Ghadeer.
Sari Raat Alam Milne Ki Hasrat Mein Jo Jagay The.
Choor Ke Jo Maidan-e-Uhad Mein Paighamber Ko Bhagay The.
Unn Ki Naslein Yaad Rakhein Gi Kaise Bhala Maidan-e-Ghadeer.
Bandh Ke Jo Dastar-e-Wilayat Ban Jaye Ahamad Ki Shabeeh.
Kaise Na Osspar Qurbaan Hoon Chand Our Soraj :NAYAB:-O-:WAJHI:
Aaj Bhi Kehta Hai Sehraon Se Yehi Chaminstan-e-Ghadeer.
Poet: :Nayab Hallauri:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2005-06:
#Ghadeer
#ManqabatLyrics
#tajpoint