Khuli Jo Aankh Habib-e-Khuda Ki Goad Mili Lyrics In Urdu 2008
Khuli Jo Aankh Habib-e-Khuda Ki Goad Mili.
Ali Ki Goad Mili Fatima Ki Goad Mili.
Hasan Se Paikar-e-Sidq-o-Safa Ki Goad Mili.
Imam-e-Sabar-e-Sheh-e-Karbala Ki Goad Mili.
Yeh Gul Woh Hai Jise Sare Chaman Ne Pala Hai.
Sharaf Yeh Hai Ke Inhein Panjtan Ne Pala Hai.
Sharaf Se Aap Ke Waqif Hain Sab Ke Sab Zainab.
Dari Hain Qowat-e-Zulm-o-Sitam Se Kab Zainab.
Baqay-e-Deen-e-Khuda Ka Bani Sabab Zainab.
Tamam Umar Rahein Ban Ke Zeen-e-Aab Zainab.
Diyar-e-Sham Mein Zainab Ne Youn Kalam Kiya.
Adab Se Nehaj-e-Balagah Ne Khud Salam Kiya.
Hai Mera Naam Tu Zainab Ali Ki Beti Hoon.
Yeh Janate Hain Yahan Sab Ali Ki Beti Hoon.
Safeer-e-Shah Hai Mansab Ali Ki Beti Hoon.
Yeh Sun Le Waqt Ka Marhab Ali Ki Beti Hoon.
Yazeediyat Ka Janaza Utha Ke Dam Loon Gi.
Main Aaj Qila-e-Baiat Ko Dha Ke Dam Loon Gi.
Yeh Hal Atta Ka Gharana Mera Gharana Hai.
Mere Hi Ghar Pe Farishton Ka Aana Jana Hai.
Keh Sajda Gah-e-Malak Mera Aastana Hai.
Mere Addo Ka Jahanum Mein Bas Thikana Hai.
Sharaf Mein Sab Se Siwa Bad-e-Panjtan Mein Hoon.
Ali Ki Beti Hoon Abbas Ki Behan Main Hoon.
Ali Ki Rahat-e-Jaan Teri Himaton Ko Salam.
Azeem Beton Ki Maa Teri Azmaton Ko Salam.
Rasool-e-Shah-e-Zamaan Teri Rifatoon Ko Salam.
Hussainiyaat Ki Ammaan Teri Mehnatoon Ko Salam.
Qadam Qadam Pe Ajab Moajze Dikhaye Hain.
Hawa Ki Zad Pe Cherag-e-Azza Jalaye Hain.
Zameer-e-Ghairat-e-Insaniyat Jhanjhoor Diya.
Har Aik Zehan Ko Soye-e-Hussain Moor Diya.
Gharor Sham Ke Hakim Ka Oss Ne Toor Diya.
Yazeed-e-Sham Ko Lanat Ke Sath Joor Diya.
Faqat Yeh Dukhtar-e-Zahra Ke Karnama Hai.
Yazeed Mar Giya Lekin Hussain Zinda Hai.
Tere Biyan-e-Fazail Ka Haq Adda Kya Ho.
Teri Sifat Ka Lafzoon Mein Tazkira Kya Ho.
Bhala Sharaf Tera Har Ik Pe Aina Kya Ho.
Tu Haq Ki Subha Tera Sham Ko Pata Kya Ho.
Teri Sana Kahan :EJAZ: Ki Zaban Kahan.
Ghabar-e-Rah Kahan Our Aasman Kahan.
Poet: :Ejaz Lucknowi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2007-08:
#KhuliJoAankh
#ManqabatLyrics
#tajpoint