Ali Aatay Hain Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu

Ali Aatay Hain Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu

علیؑ آتے ہیں

Abu Talib Ka Haram, Bait-e-Haram Tak Pohancha.
Yani Khaliq Ka Karam Bait-e-Haram Tak Pohancha.
Khana e Rab Ka Bharam Bait-e-Haram Tak Pohancha.
Bani Hashim Ka Hasham Bait-e-Haram Tak Pohancha.
Aayi Aawaz-e-Jali Rab Ka Wali Aata Hai.
Kaba Dewar Ko Dar Kar Ke Ali Aata Hai.
Sun Aye Kaba Haram-e-Hazrat-e-Imran Hai Yeh.
Dekh Aaina-e-Wahdat Ka Ik Imkan Hai Yeh.
Dekh Kaba Sabab e Natiq-e-Quran Hai Yeh.
Yaad Rakh Kaba Keh ALLAH Ki Mehman Hai Yeh.
Hamil-e-Noor Hai Noor-e-Azali Ki Maa Hai.
Sar Ko Qadmo Mein Jhuka De Yeh Ali Ki Maa Hai.
Yaad Rakh Kaba Yeh Khaton Ali Ki Maa Hai.
Do Jahan Iss Ke Hain Mamnon Ali Ki Maa Hai.
Kul Khudai Bhi Hai Marhon Ali Ki Maa Hai.
Kya Raqam Ho Koi Mazmoon Ali Ki Maa Hai.
Apne Hathoon Se Imamat Ka Gohar Dhalay Gi.
Yeh Woh Maa Hai Jo Nuseri Ka Khuda Palay Gi.
Dekh Aye Kaba Yeh Hai Qibla Numai Ka Jawaz.
Lainay Aayi Hai Yahan Yeh Meri Tauheed Ka Raaz.
Maa Issay Keh Ke Pukarey Ga Jo Wahdat Ka Hai Naaz.
Aaj Se Khana e Rab Tujh Pe Bhi Wajib Hai Namaz.
Baam-o-Dar Tere Sabhi Waqf e Tawala Hoon Gay.
Iss Ke Qadmo Ke Nishaan Tera Musalla Hoon Gay.
Dekh Kaba Teri Azmat Ke Nishaan Hain Yeh Qadam.
Woh Jagah Arsh-e-Mualla Hai Jahan Hain Yeh Qadam.
Kis Ko Maloom Bulandi Mein Kahan Hain Yeh Qadam.
Jahan Qausain Ki Manzil Hai Wahan Hain Yeh Qadam.
Rab-e-Akbar Ne Har Ik Maa Ko Atta Ki Janat.
Inn Ke Neechay Hai Nuseri Ke Khuda Ki Janat.
Martaba Tera Barhanay Yeh Qadam Aaye Hain.
Raz-e-Tauheed Bataney Yeh Qadam Aaye Hain.
Baam-o-Dar Tere Sajane Yeh Qadam Aaye Hain.
Tujh Ko Ab Qibla Bananey Yeh Qadam Aaye Hain.
Yeh Nahi Aate Tu Phir Soch Zara Kya Hota.
Jis Jagah Aate Ali Phir Wohi Kaba Hota.
Kalma-e-Rab-e-Jali Hai Yeh Kalamon Ki Hai Maa.
Yeh Duroodon Ki Hai Maa Our Salamo Ki Hai Maa.
Woh Jo Isma e Khuda Hain Unhi Namo Ki Hai Maa.
Bas Ali Ki Nahi Yeh Barah Imamo Ki Hai Maa.
Sare Aalam Ki Amma Apni Amma Kehta Hai.
Soch Woh Kya Hai Muhammad Jisay Maa Kehta Hai.
Noor-e-ALLAH Ka Maskan Bana Iss Maa Ka Wojood.
Mariyam-o-Sarah Karein Naqsh-e-Kaf-e-Pa Pe Sajod.
Maqsad-e-Zaat-e-Elahi Ka Yehi Hai Maqsood.
Iss Ke Farzandoon Pe Khud Parhta Hai ALLAH Darood.
Be Niyazana Sar-e-Koye Niyaz Aati Hai.
Youn Samajh Lijiye Kabay Mein Namaz Aati Hai.
Kul-e-Eman Ka Eman Hai Iss Ki Jholi.
Parda e Wahdat-e-Imkan Hai Iss Ki Jholi.
Aayat-e-Kubra Ka Juzdan Hai Iss Ki Jholi.
Khud Mein Dhanpey Hoye Quran Hai Iss Ki Jholi.
Yeh Woh Mumkin Jisay Imkaan Ki Zarorat Hi Nahi.
Oss Ki Maa Hai Keh Jisay Maa Ki Zarorat Hi Nahi.
Sun Ke Aawaz Yeh Kabay Ne Niya Dar Khola.
Dar Jo Khola Tu Woh Dewar Ke Andar Khola.
Woh Jo Manzar Mein Na Tha Woh Pas-e-Manzar Khola.
Wali ALLAH Ne ALLAH Ka Youn Ghar Khola.
Aayi Aawaz-e-Khuda Ghar Ke Makeen Aate Hain.
Woh Jo Pardon Mein Nihaan They Woh Yahin Aate Hain.
Dar-e-Kaba Ne Kaha Bint-e-Asad Bismillah.
Layi Hain Sath Khudai Ki Sand Bismillah.
Layi Hain Jhotay Khudaon Ki Bhi Rad Bismillah.
Qaba Qausain Se Ab Mil Gayi Had Bismillah.
Aamad-e-Noor-e-Mubeen Aaj Yahan Honi Hai.
Aaj Mairaj Ko Mairaj Yahan Honi Hai.
Boli Dewar-e-Haram Aap Pe Hoon Lakh Salam.
Aap Ka Hai Yeh Karam Aap Pe Hoon Lakh Salam.
Aap Se Hai Yeh Bharam Aap Pe Hoon Lakh Salam.
Aap Ke Aaye Qadam Aap Pe Hoon Lakh Salam.
Meri Dehleez Pe Anwar Utar Aaye Hain.
Asal Waris Hain Jo Iss Ghar Ke Woh Ghar Aaye Hain.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2023-24:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#AliAatayHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

error: Content is protected !!