Yeh Ghurbat-e-Ali Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2017
Yeh Ghurbat-e-Ali Hai Yeh Ghurbat-e-Ali Hai.
Haq Mangne Jo Zahra Darbar Mein Gayi Hai.
Awaz Aa Rahi Hai Bint-e-Mustafa Hoon.
Baba Ke Kalma Goyon Main Hi Tu Fatima Hoon.
Pehchanne Se Dunya Inkar Kar Rahi Hai.
Sun Kar Salam-e-Haider Koi Nahi Hai Rukta.
Wajib Nahi Samajhta Koi Jawab Dena.
Afsoos Fatima Bhi Yeh Baat Janti Hai.
Masjid Mein Sar Jhukaye Mula Khare Howay Hain.
Hakim Ki Tohmaton Ko Chup Chap Sun Rahe Hain.
Sadiqa Sab Ke Aagay Jhutlai Ja Rahi Hai.
Kehti Hain Ro Ke Zahra Jane Na Doon Gi Tanha.
Patkay Mein Murtaza Ke Hai Hath Syeda Ka.
Ab Hai Kissi Ka Dura Our Dukhtar-e-Nabi Hai.
Ik Koche Mein Pohanch Kar Dekha Hai Mujtaba Ne.
Zalim Ne Zarb Mari Kaise Khuda Hi Jane.
Bint-e-Nabi Zameen Par Gash Kha Ke Gir Pari Hai.
Mazloom-e-Karbala Ko Yaad Aa Gayi Sakina.
Beti Pe Mustafa Ki Qunfuz Ka Hath Utha.
Pehlu Mein Murtaza Ki Talwar Ro Pari Hai.
Pehlu Bhi Hai Shikasta Hathon Pe Bhi Hain Chale.
Hai Aap Ki Amanat Ab Aap Ke Hawalay.
Yeh Keh Ke Murtaza Ne Maiyat Nabi Ko Di Hai.
Kafi Hai Bas Yeh Fiqrah Rone Ko Zindagi Bhar.
Hathon Ko Apne Aksar Kehte The Mal Ke Haider.
Khaiber Shikan Ki Zojah Ghut Ghut Ke Mar Gayi Hai.
Kaise Likhe :TAKALLUM: Ghurbat Ali Wali Ki.
Zojah Sahabiyon Ke Darbar Mein Gayi Thi.
Beti Sharabiyon Ke Darbar Mein Gayi Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
#YehGhurbateAli
#NohayLyrics
#tajpoint