Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025
Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu
Kya Khak Woh Darein Gay Lehad Ke Hisab Se.
Mansoob Hain Jo Khak-e-Dar-e-Abu Turab Se.
Rooz-e-Azzal Se Hai Bas Yeh Aqeeda.
Tasbeeh Meri Yehi Hai Wazeefa.
Mushkil Kusha Mera Maula Ali Hai.
Jis Ke Sabab Sab Ki Mushkil Tali Hai.
Hai Yeh Hi Tu Meri Kamyabi Ana Buturabi.
Main Sharab-e-Wila Ka Sharabi Ana Buturabi.
Mere Hathoon Mein Nehj-e-Balaga.
Roz Sunta Hoon Khutba Ali Ka.
Dil Ke Mimber Pe Baithay Hain Haider.
Hain Mere Sath Salman-o-Abuzar.
Mera Mushkil Kusha Haider, Mera Hajat Rawa Haider.
Mera Uqdah Kusha Haider, Mere Dil Ki Sada Haider.
Main Azzal Se Ali Ka Sahabi Ana Buturabi.
Meri Manzil Faqat Koye Haider.
Malikan Meri Bano e Haider.
Mera Chehra Sada Soye Haider.
Meri Mati Mein Khushbo-e-Haider.
Izzatullah Ali Haider, Hujjatullah Ali Haider.
Aayatullah Ali Haider, Qudratullah Ali Haider.
Sari Dunya Faqat Hai Turabi Ana Buturabi.
Kis Ne Kaha Aqeeday Chupaney Ka Roz Hai.
Khul Kar Munafiqon Ko Jalanay Ka Roz Hai.
Terah 13 Rajab Ko Sheikh Chupay Phir Rahe Hain Youn.
Keh Apna Asli Baap Bataney Ka Roz Hai.
Hai Khushi Se Jo Chehra Ghulabi Ana Buturabi.
Hai Karam Hum Pe Rab-e-Ali Ka.
Zikar-e-Haider Jo Wirsay Mein Paya.
Yeh Bazurgon Ki Mehnat Ka Phal Hai.
Aaj Mehfooz Jo Apna Kal Hai.
Hai Hamari Wila Haider, Hai Hamari Dua Haider.
Hai Hamari Wafa Haider, :MIR: Sab Dein Sada Haider.
Asal Mein Hai Yehi Kamyabi Ana Buturabi.
Main Muqalid Rah-e-Anbiya Ka.
Main Hoon Shahkar Dast-e-Khuda Ka.
Misal-e-Aadam Issi Se Bana Hoon.
Main Ghubar-e-Rah-e-Murtaza Hoon.
Mera Qibla Ali Haq Hai, Mera Kaba Ali Haq Hai.
Mera Maula Ali Haq Hai, Mera Narah Ali Haq Hai.
Meri Mati Mein Kyun Ho Kharabi Ana Buturabi.
Main Tabiyat Mein Nori Na Nari.
Meri Fitrat Mein Hai Khaksari.
Aag Hai Aab Our Na Hawa Hai.
Mera Teeno Se Kya Wasta Hai.
Mera Qaul-o-Qasam Haider, Mera Abar-e-Karam Haider.
Mera Loh-o-Qalam Haider, Mera Jah-o-Hasham Haider.
Aatishi Na Hawai Na Aabi Ana Buturabi.
Jo Haider Karrar Hai Woh Kul Ka Madad Gaar Hai.
Oss Se Humein Bhi Pyar Hai.
Narah-e-Ali Ya Ali.
Mujh Ko Dunya Ka Koi Nahi Dar.
Khul Ke Karta Hoon Main Zikar-e-Haider.
Rab-e-Haider Ko Karta Hoon Sajdah.
Hoon Musalman Salman Jaisa.
Main Nuseri Na Super Inqilabi Ana Buturabi.
Main Ali Ke Hi Dar Par Rahon Ga.
Main Yahan Se Na Hargiz Uthoon Ga.
Taik Hoon Unn Ke Dar Se Lagaye.
Jis Ko Milna Hai Khud Chal Ke Aaye.
Mere Dil Ki Taraf Haider, Meri Jaan Ka Hadaf Haider.
Mera Shah-e-Najaf Haider, Mera Burj e Sharf Haider.
Mere Hissay Mein Hai Yeh Nawabi Ana Buturabi.
Ainullah, Uznullah, Noorullah, Wajhullah.
Aisay Hotey Hain Ali Ke Nokar.
Waqt Par Waqt Ki Raftar Badal Detey Hain.
Fitrat-e-Khanjar-o-Talwar Badal Detey Hain.
Daar Par Lehja-e-Guftar Badal Detey Hain.
Zair-e-Khanjar Bhi Sada Detey Hain Haider Haider.
Kyun Na Bolay Ali Ka Sahabi Ana Buturabi.
Main :TAKALLUM: Bhi Hoon Haidery Bhi.
Main Namazi Bhi Our Matami Bhi.
Khum Jabeen Baab-e-Haider Pe Ki Hai.
Lab Pe Fuztu Be Rab Al Ali Hai.
Kamrani Meri Haider, Zindagani Meri Haider.
Javedani Meri Haider, Haq Bayani Meri Haider.
Dast-e-Rab Tak Meri Dastyabi Ana Buturabi.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Jawad Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Qasim Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#AnaButurabi
#ManqabatLyrics
#tajpoint
New Manqabat Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu
13 Rajab Manqabat Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025 Mir Jawad Mir Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu Mir Qasim Mir Ana Buturabi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu