Bani Hai Yeh Dunya Baray-e-Muhammad Lyrics In Urdu 2010
Bani Hai Yeh Dunya Baray-e-Muhammad.
Batata Hai Khud Yeh Khuda-e-Muhammad.
Bani Hai Yeh Dunya Baray-e-Muhammad.
Shab-e-Qadar Quran-e-Samat Ki Sorat.
Mukamal Hoi Hia Sana-e-Muhammad.
Sar-e-Arsh Mairaj Ki Inteha Pe.
Na Pohancha Koi Bhi Siway-e-Muhammad.
Bare Chain Se Bistar-e-Mustafa Pe.
Ali So Rahe Hain Bajay-e-Muhammad.
Yeh Man Kunto Mula Se Sabit Howa Hai.
Wilay-e-Ali Hai Wilay-e-Muhammad.
Jabhi Tu Hai Horon Ke Chehray Darakhshan.
Lagati Hain Woh Khak-e-Paye-e-Muhammad.
Hai Pusht-e-Nabi Pe Baqay-e-Nabowat.
Wahi Aayi Sar Na Uthay-e-Muhammad.
Jo Barah Cherag-e-Imamat Hain Roshan.
Hai Unn Sab Mein :YASIR: Zia-e-Muhammad.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2010-11:
#BaniHaiYehDunya
#NaatLyrics
#tajpoint
Bani Hai Yeh Dunya Baray e Muhammad Lyrics In Urdu 2010 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
