Faraz-e-Daar Par Bhi Zikar-e-Mula Dhoond Letey Hain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
فرازِ دار پر بھی ذکرِ مولاؑ ڈھونڈ لیتے ہیں
Jinhein Janat Bulati Hai Woh Rasta Dhoond Letey Hain.
Fazayal Par Ali Ke Lakh Parde Daal De Dunya.
Jo Nukta Sanj Hote Hain Woh Nukta Dhoond Letey Hain.
Faza Jaisi Bhi Ho Lekin Ali Ke Madah Tair.
Agar Behlool Hote Hain Tu Dana Dhoond Letey Hain.
Hamare Hath Hain Manoos Itne Daman-e-Haq Se.
Andhere Mein Bhi Hum Nehj-e-Balaga Dhoond Letey Hain.
Hamari Chasham-e-Bina Par Zamana Mehway-e-Hairat Hai.
Bukhari Mein Bhi Hum Man Kunto Mula Dhoond Letey Hain.
Yazeedi Patharon Mein Itefaqan Hur Bhi Shamil Tha.
Magar Jo Johari Hote Hain Hera Dhoond Letey Hain.
Khuda Ka Shukar Hai :JARRAR: Hum Mula Ke Sadqay Mein.
Kahin Bhi Hoon Magar Apna Qabeela Dhoond Letey Hain.
Poet: :Jarrar Akbarabadi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:
#DhoondLeteyHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com