Ali-o-Zahra Ki Poti Sakina Bint-e-Hussain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
علیؑ و زہراؑ کی پوتی سکینہؑ بنتِ حُسینؑ
Hai Shah Zadi Ki Beti Sakina Bint-e-Hussain.
Jahan Rubab-o-Sakina Na Hoon Woh Ghar Hi Nahi.
Hussain Kehte The Ye Hi Sakina Bint-e-Hussain.
Tumhein Hussain Ne Manga Jo Behar-e-Karb-o-Bala.
Tu Tum Ne Jan Bhi De Di Sakina Bint-e-Hussain.
Chacha Ki Ladli Ghar Bhar Ki Aankh Ka Tara.
Na Kyun Har Ik Ko Ho Pyari Sakina Bint-e-Hussain.
Hussain-o-Abid-o-Zainab Duaein Detey Rahe.
Shareek-e-Kar Thi Sab Ki Sakina Bint-e-Hussain.
Woh Jis Ko Kehte Hain Shami Ruqaiya Bint-e-Hussain.
Hai Hind-o-Paak Mein Woh Hi Sakina Bint-e-Hussain.
Shaheed Khud Bhi Hai Yeh Bint-e-Syed-us-Shuhda.
Kissi Se Kam Tu Nahi Thi Sakina Bint-e-Hussain.
Yeh Jin-o-Ins-o-Malak Balke Auliya Bhi Karein.
Tumhare Dar Ki Ghulami Sakina Bint-e-Hussain.
Imam Aa Ke Rehai Osse Dilaein Gaye.
Hai Qaid Khane Mein Ab Bhi Sakina Bint-e-Hussain.
:WAJHI: Ho Ke Woh Ho :SIBT-E-JAFAR-E-ZAIDI:.
Hain Tere Dar Ke Bhikhari Sakina Bint-e-Hussain.
Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:
#SakinaBinteHussain
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com