Haye Mazlooma Fatima Zahra 9-16 Lyrics In Urdu
Haye Mazlooma Fatima Zahra 9-16
Zakhmi Pehlu Ko Sanbhale Zabt-e-Gham Kis Tarha Ho.
Jane Kyun Hasrat Se Dekha Karti Hain Shabir Ko.
Sochti Hain Kya Fatima Zahra.
Seena-e-Shabar Ko Choma Our Gala Shabir Ka.
Choom Ke Zainab Ke Bazu Ro Parein Be-Sakhta.
Kya Khiyal Aaya Fatima Zahra.
Kehti Hain Fizza Se Bibi Aye Kaneez-e-Ba-Wafa.
Tere Zime Zainab-o-Kulsoom Ko Main Ne Kiya.
Roti Hain Fizza Fatima Zahra.
Khana-e-Haider Mein Barpa Ik Qayamat Ho Gayi.
Waqt Woh Aaya Keh Bibi Ki Shahdat Ho Gayi.
Arsh Tharaya Fatima Zahra.
Zainab-o-Kulsoom-o-Fizza Shabar-o-Haider Yahan.
Door Kone Mein Khare Shabir Rote Hain Wahan.
Majrah Hai Kya Fatima Zahra.
Bole Haider Waqt-e-Rukhsat Maan Ko Kya Rulwaein Gaye.
Bole Sheh Amma Bulaein Gi Humein Tu Aaein Gaye.
Ro Parein Jo Suna Fatima Zahra.
Sun Ke Aawaz-e-Sheh-e-Dein Khul Gaye Band-e-Kafan.
Bolein Bibi Hath Utha Ke Aa Mere Gull Pairehan.
De Rahi Hai Sada Fatima Zahra.
Aik Na Ik Din Bane Ga Marqad-e-Weeran Bhi.
Dekhne Aaein Gaye Bibi :MAZHAR:-o-:FARHAN: Bhi.
Aap Ke Roza Fatima Zahra.
Poet: :Mazhar Abidi:
NohaKhuwan: :Farhan Ali Waris:
Ayyam-e-Fatima Noha 2016
#HayeMazloomaFatimaZahra
#NohayLyrics
#tajpoint
Haye Mazlooma Fatima Zahra 9-16 Lyrics In Urdu Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
