Mula Ab Aa Bhi Jaein Kab Se Bula Rahe Hain Lyrics In Urdu 2010

Mula Ab Aa Bhi Jaein Kab Se Bula Rahe Hain Lyrics In Urdu 2010

Mula Ab Aa Bhi Jaein Kab Se Bula Rahe Hain.

Joor-o-Sitam Jahan Ke Barhte Hi Ja Rahe Hain.
Dushman Jo Aap Ke The Hum Ko Sata Rahe Hain.

Hote Hain Masjidon Mein Phir Aaye Din Dhamake.
Mula Batein Kab Tak Apne Uthaein Lashe.
Muhlat Na In Ko Dijay Jo Khoon Baha Rahe Hain.

Kya Matami-o-Ghazi Kya Haji-o-Namazi.
Ilm-o-Amal Se Aari Guftar Ke Namazi.
Zahra-o-Murtaza Ka Sab Dill Dukha Rahe Hain.

Yeh Nazar Our Majalis, Melad Our Mahafil.
Sochein Kabhi Hum Inn Se Kya Kar Rahe Hain Hasil.
Ikhlas Hi Nahi Jab Phir Kya Kama Rahe Hain.

Unn Se Salam Kehna Bad-e-Saba Hamara.
Aye Baqi Rehne Walo Hum Ko Na Bhool Jana.
Tum Intezar Karna Ab Hum Tu Ja Rahe Hain.

Aashor Ho Ya Chehlum Jab Bhi Howa Dhamaka.
Ahl-e-Azza Ko Shehar-e-Qaid Mein Hum Ne Dekha.
Kis Hosle Se Apne Lashe Utha Rahe Hain.

Inam Bhi Mile Ga Shabash Bhi Mile Gi.
Tum Karna :SIBT-E-JAFAR: Apna Mohasba Bhi.
Tum Jin S Ho Mukhatib Woh Jald Aa Rahe Hain.

Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2010-11:

#MulaAbAaBhiJaein
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Mula Ab Aa Bhi Jaein Kab Se Bula Rahe Hain Lyrics In Urdu 2010 Write Up Poster Image

Mula Ab Aa Bhi Jaein Kab Se Bula Rahe Hain Lyrics In Urdu 2010

Video Link

Leave a Comment

error: Content is protected !!