Bohat Parda Howa Ab Aa Bhi Jao Aye Mere Mula Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بہت پردہ ہوا اب آ بھی جاؤ اے میرے مولاؑ
Naqab-e-Ghaib Ko Rukh Se Hatao Aye Mere Mula.
Yazeedi Taqaton Ne Phir Se Apna Sar Uthaya Hai.
Mazar-e-Fatima Zahra Ke Gunbad Ko Giraya Hai.
Ali Ki Taig Se Un Ko Mitao Aye Mere Mula.
Diye Hain Rone Walon Ko Bare Aazar Batil Ne.
Azadaron Ka Jeena Kar Diya Dushwar Batil Ne.
Karo Imdad Lillah Aa Bhi Jao Aye Mere Mula.
Suna Hai Raat Din Ghaib Mein Tum Be-Chain Hote Ho.
Suna Hai Sorat-e-Sajjad Tum Bhi Khon Rote Ho.
Tum Apne Gham Humein Aa Kar Sunao Aye Mere Mula.
Sitam Ne Masjidon Ko Maqtal-e-Insaan Banaya Hai.
Jawan-o-Kamsin Ki HUm Ne Lashon Ko Uthaya Hai.
Azza Khane Hain Weraan Aa Bhi Jao Aye Mere Mula.
Shaheed-e-Karbala Ke Waris-e-Dastar Tum Hi HO.
Rida-e-Zainab-e-Muztar Ke Matamdardar Tum Hi HO.
Chale Aao Safa-e-Matam Bichao Aye Mere Mula.
Chali Barchi Jab Akbar Par Wahan Mojood Tum Bhi The.
Chala Jab Teer Asghar Par Wahan Mojood Tum Bhi The.
Humein Bhi Dastan-e-Gham Sunao Aye Mere Mula.
Yehi :TAUQEER: Tere Dar Pe Karta Hai Dua Mula.
Humein Apne Gharane Ka Sahi Arif Bana Mula.
Humein Apni Ziyarat Bhi Karao Aye Mere Mula.
Poet: :Tauqeer Kamalvi:
Noha Khowan: :Qamar Baltistani:
Noha Volume: :Qamar Baltistani 2018-19:
Composition: :Waheed-Ul-Hassan Kamalvi:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com