Tu Agar Pairaway Sajjad Nahi Ho Sakta Lyrics In Urdu 2018
Tu Agar Pairaway Sajjad Nahi Ho Sakta.
Zulm Ki Qaid Se Aazad Nahi Ho sakta.
Ishq-e-Abid Se Hai Aabad Agar Dill Tera.
Phir Yeh Likh Le Khe Tu Barbad Nahi Ho sakta.
-->
Aal-e-Ahmad Ki Musibat Pe Jo Khush Hota Hai.
Zindagi Bhar Woh Kabhi Shad Nahi Ho sakta.
Jo Lagata Nahi Mula Ke Waseelay Se Sada.
Woh Bashar Qabil-e-Imdad Nahi Ho sakta.
Jo Ke Ab Narah-e-Haider Ke Muqabil Aaye.
Aisa Narah Kabhi Ejad Nahi Ho sakta.
:SIBT-E-JAFAR: Ki Tarha Mulk-e-Adab Mein :YASIR:
Ab Koi Dosra Ustad Nahi Ho sakta.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Janab-e-Imam-e-Zain-ul-Abideen
#TuAgarPairawaySajjad
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Tu Agar Pairaway Sajjad Nahi Ho Sakta Lyrics In Urdu 2018 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
