Dar e Bahisht Pe Ism e Ali Likha Howa Hai Lyrics 2018
Dar-e-Bahisht Pe Ism-e-Ali Likha Howa Hai.
Wahan Bhi Apne Liye Ik Najaf Bana Howa Hai.
Na Roz-e-Hashar Bhi Uthe Ga Ab Baray-e-Hisab.
Janaza Parh Diya Haider Ne Yeh Mara Howa Hai.
Adab Se Sar Ko Jhukaye Hai Har Charag Ki Lau.
Janab-e-Fatima Zahra Ka Tazkira Howa Hai.
Aye Ashk Kya Kahin Romal-e-Fatima Hai Qareeb.
Tu Intezar Mein Palkoon Pe Jo Ruka Howa Hai.
Ajeeb Ishq Tha Zarron Se Pochta Raha Hur.
Mere Hussain Ka Khaima Kahan Laga Howa Hai.
Ghubar-e-Rah-e-Madina Ghubar-e-Rah-e-Najaf.
Yehi Woh Noor Hai Aankhon Mein Jo Basa Howa Hai.
Jamal-e- Sabz Pe Tari Hai Rang-e-Karb-o-Bala.
Liway-e-Hamd Bhi Farsh-e-Aza Bana Howa Hai.
Har Aik Mauj Pe Ho Gi Raqam Shikast-e-Yazeed.
Furat Ka Ali Asghar Se Samna Howa Hai.
Har oss Mahaz Pe :AKBAR: Karon Ga Zikar-e-Hussain.
Keh Jis Mahaz Pe Banda Khuda Bana Howa Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2018-19:
#IsmeAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint