ٹ کریں -->

Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai Lyrics In Urdu 2011

Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai Lyrics In Urdu 2011

Zamane Mein Jo Charcha Fiqa-o-Deen-e-Mustafa Ka Hai.
Jo Sach Pocho Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai.

Khuda-o-Mustafa Mula Ali Ke Naam Ka Kalma.
Haqeeqat Mein Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai.

-->

Jo Hai Aadam Ta Qayam Syed-e-Lolak Ka Shajra.
Wohi Shajra Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Shajra Hai.

Chalan Jo Anbiya-o-Mursaleen-o-Auliya Ka Hai.
Zamane Ne Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Se Seekha Hai.

Jo Pehne Phir Rahe Hain Khuwaja-o-Ghoas-o-Qutab Data.
Yeh Utran Bhi Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Khirqa Hai.

Silay Mein Bait-e-Midhat Ke Milay Ga Bait Janat Mein.
Yeh Shayar Se Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Wada Hai.

Kahan Hai Taqat-e-Midhat :WAJHI:-o-:SIBT-E-JAFAR: Mein.
Yeh Khidmat Mein Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ki Hadiya Hai.

Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2011-12:

#ImameJaffareSadiq
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Imam e Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai Lyrics In Urdu 2011 Write Up Poster Image

Imam-e-Jaffar-e-Sadiq Ka Tohfa Hai Lyrics In Urdu 2011

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!