Imam-e-Waqt Dua Hai Yeh Intezam Bhi Ho Lyrics In Urdu 2011

Imam-e-Waqt Dua Hai Yeh Intezam Bhi Ho Lyrics In Urdu 2011

Imam-e-Waqt Dua Hai Yeh Intezam Bhi Ho.

Keh Ab Ke Bar Shaheedon Mein Mera Naam Bhi Ho.

Mjhe Bhi Shoq-e-Shahadat Hai Aye Mere Mula.
Mujhe Bhi Khidmat-e-Aali Ka Chahiye Moqa.
Yeh Kar-e-Khair Hai Shamil Tera Ghulam Bhi Ho.

Mujhe Bhi Rizq-e-Shahadat Atta Karein Aaqa.
Keh Apne Khon Se Roshan Karon Cherag-e-Wafa.
Baray-e-Khadam-e-Sarwar Yeh Ahtamam Bhi Ho.

Main Hur Ke Jazba-e-Aali Ko Ikhtiyar Karon.
Hussainiat Ke Liye Main Bhi Jaa Nisar Karon.
Tu Kuch Tu Zaat Meri Laiq-e-Salam Bhi Ho.

Ho Kash Aisa Sheh-e-Kazmain Fakhar Karein.
Main Hoon Shaheed Mere Waldain Fakhar Karein.
Diyar-e-Khuld Mein Hasil Mujhe Muqam Bhi Ho.

Yeh Bat Sach Hai Ke Auqat Se Siwa Mangi.
Magar Namaz Mein Har Dam Yehi Dua Mangi.
Jo Fakhar-e-Ishq Hai Hasil Mujhe Woh Jam Bhi Ho.

Imam-e-Hujjat-e-Aakhir Aye Wirsa Dar-e-Ali.
Yeh Iltija Hai Musalsal :WAJHI:-o-:YASIR: Ki.
Dua Hai Aaj Jo Lab Par Yehi Mudaam Bhi Ho.

Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2011-12:

#ImameWaqtDuaHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Imam-e-Waqt Dua Hai Yeh Intezam Bhi Ho Lyrics In Urdu 2011 Write Up Poster Image

Imam-e-Waqt Dua Hai Yeh Intezam Bhi Ho Lyrics In Urdu 2011

Video Link

Leave a Comment

error: Content is protected !!