Woh Ghar Ke Hukam Jahan Fatima Ke Chaltay Hain.
وہ گھرکہ حُکم جہاں فاطمہؑ کے چلتے ہیں
Tamam Kam Wahin Se Khuda Ke Chaltay Hain.
Yeh Kaisi Rahguzar Hai Yeh Koan Sa Dar Hai.
Keh Mustafa(SAWW) Bhi Yahan Sar Jhuka Ke Chaltay Hain.
Jabeen Pe Fakhar Se Romal-e-Syeda(SA) Bandhe.
Amamay Walon Mein Hur(AS) Muskura Ke Chaltay Hain.
Keh Jaise Hath Mein Al-Maida Ka Sorah Ho.
Malak Youn Rotiyaan Teri Utha Ke Chaltay Hain.
Bana Na Le Koi Dunya Utha Ke Woh Mati.
Youn Naqsh-w-Pa Tere Haider(AS) Chupa Ke Chaltay Hain.
Aye Hur(AS) Na Ghabra Ye Karb-o-Bala Ki Basti Hai.
Yahan Pe Faislay Aal-e-Aba(AS) Ke Chaltay Hain.
Yeh Tere Faqoon Ka Sadqa Hai Aye Hussain(AS) Ki Maa.
Jo Ghar Sakoon Se Ahl-e-Azza Ke Chaltay Hain.
Kaha Ajal Se :TAKALLUM: Ne Intezar Karo.
Sanay-e-Fatima Zahra(SA) Suna Ke Chaltay Hain.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:
Composition: :Nazakat Ali Khan:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com