Zahra Ke Dar Ki Nukari Lyrics In Urdu Wajhi Hasan 2010
Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Karte Hain Sab Wali Nabi Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Shahi Se Barh Keh Qeemati Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Dunya Ki Kya Bisaat Hai Iss Ki Nazar Mein Khak Hai.
Pakeeza Jis Ka Khon Hai Jis Ka Nasab Bhi Pak Hai.
Karta Rahe Ga Bas Wohi Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Muthi Mein Kainat Hai Shahi Mein Shan Yeh Kahan.
Beti Kaha Rasool Ne Hasnain Keh Rahe Hain Maa.
Fiza Ko Youn Azeez Thi Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Zahra Ke Ahtram Ne Yeh Martaba Atta Kiya.
Dozakh Mein Ja Raha Tha Woh Shabir Ne Bacha Liya.
Hur ko Naseeb Ho Gayi Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Arman Hai Batool Ka ALLAH Ko Pasand Hai.
Khushiyon Ki Kainat Tu Ashk-e-Azza Mein Band Hai.
Youn Kar Rahe Hain Matami Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Dar-e-Fana Ko Choor Keh Momin Jo Koi Jaye Ga.
Saya Abu Turab Ka Turbat Mein Phail Jaye Ga.
Apna Asar Dikhaye Gi Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Shamil The Ahl-e-Bait Mein Kitne Azeem Ho Gaye.
Salman Ki Hayat Mein Do Hi Tu Aise Kam The.
Har Dam Ali Ali Ali Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Alim Ko Har Khateeb Ko Zakir Ko Madah Khuwab Ko.
Shayar Ko Soz Khuwan Ko Har Matami Jawan Ko.
Bunyad-e-Zarf Par Mili Zahra Ke Dar Ki Nukari.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2010-11:
#ZahraKeDarKiNukari
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Zahra Ke Dar Ki Nukari Lyrics In Urdu Wajhi Hasan 2010 Write Up Poster Image
