Apne Hatho Se Chupa Leti Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2025
Apne Hatho Se Chupa Leti Wajhi Hasan Zaidi.
Apne Hathoon Se Chupa Leti Thi Apne Rukhsar.
Jab Bhi Doran-e-Safar Shimar Ka Naam Aata Tha.
Hai Angothi Ke Nishaan Se Mera Chehra Neela.
Ab Na Seh Paon Gi Main Our Tamacha Bhaiyya.
Ro Ke Kehte Hoye Aa Jati Thi Paish-e-Beemar.
Iss Gham-o-Ranj Se Lillah Bana Lo Mujh Ko.
Apne Halqay Mein Zara Dair Chupa Lo Mujh Ko.
Keh Ke Phophiyon Se Lipat Jati Thi Shah Ki Gham Khawar.
Thartharata Tha Badan Bachi Seham Jati Thi.
Khof Se Aankhon Ke Aanso Bhi Chupa Leti Thi.
Bas Isharon Se Kiya Karti Thi Gham Ka Izhar.
Kabhi Kano Ko Chupati Thi Baha Kar Aanso.
Tham Leti Thi Kabhi Hathoon Se Zakhmi Pehlu.
Iss Qadar Dar Tha Nahi Aata Tha Bachi Ko Qarrar.
Khak Par Girti Thi Gham Our Bhi Bhar Jate They.
Taziyane Hi Har Ik Simt Nazar Aate They.
Khof Se Zard Howa Karta Tha Chehra Har Bar.
Kehti Thi Beriyon Walay Aye Mere Khak Nasheen.
Qaidiyon Ki Tu Lehad Pe Nahi Aata Woh Laeen.
Bas Bata Do Mujhe Itna Yeh Behan Tum Pe Nisar.
Siliyaan Ghurkiyaan De De Ke Lagaye Na Kahin.
Phir Se Chalte Hoye Naqay Se Giraye Na Kahin.
Kehti Thi Ab Mujhe Naqay Pe Nahi Karna Sawar.
Qaid Khane Ke Andherey Bhi Gawara Hain Mujhe.
Samna Ho Na Magar Phir Kabhi Oss Zalim Se.
Na Tawaan Bhai Se Karti Thi Faqat Yeh Israr.
Be Basi Dekh Ke Roti Thi :HILAL:, Aal-e-Nabi.
Aye :WAJIH: Dukhtar-e-Sarwar Ki Ajab Ghurbat Thi.
Pasliyaan Dukhti Thin Ho Jata Tha Rona Dushwar.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2025-26:
Composition: :Nayyar Abbas (Skardu):
#ApneHathoSe
#NohayLyrics
#tajpoint
