Baghdad Ke Pul Par Kazim Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بغداد کے پُل پر کاظمؑ کا کس نے یہ جنازہ رکھا ہے
Afsoos Keh Mula Ka Lasha Zanjeer-e-Sitam Mein Jakra Hai.
Zindan Tu Tang Hote Hain Magar Itne Bhi Tang Nahi Hote.
Mula The Ruku Mein Chodah Baras Ahsas Yeh Khon Rolata Hai.
Pehle Tu Laeen Ne Zehar Diya Phir Lash Ko Tanha Choor Diya.
Rone Ke Liye Iss Lashe Par Bhai Na Behan Na Beta Hai.
Iss Qaid-e-Sitam Mein Bhi Mula Rehte The Musallay Par Har Dam.
Be-Jurm Namazi Qatal Howa Ro Ro Ke Musalla Kehta Hai.
Aisi Bhi Ghareebi Dunya Mein kya Logo Kissi Par Dekhi Hai.
Afsoos Janaza Kazim Ka Mazdoron Se Uthwaya Hai.
Paiwast Badan Mein Hain Kariyaan Lohar Se Bole Mula.
Ahista Kat Yeh Zanjeerein Lasha Yeh Sadaein Deta Hai.
Eidein Athaees Guzari Hain Bin Aap Ke Aye Baba Mere.
Iss Eid Pe Tum Ghar Aa Jana Masooma-e-Qum Ka Noha Hai.
Mazloom Mere Mula Tujh Par Aulaad Bhi Teri Ro Na Saki.
Baghdad Nahi Do Aalam Mein Ab Matam Tera Hota Hai.
Mazloomi-e-Ibn-e-Jafar Ko Kya Koi Biyaan Kar Paye Ga.
:FARHAN: Our :MAZHAR: Rote Hain Har Aik Zabaan Par Noha Hai.
Poet: :Mazhar Abidi:
NohaKhuwan: :Farhan Ali Waris:
Noha Volume: :Farhan Ali Waris 2016-17:
#BaghdadKePulPar
#NohayLyrics
#tajpoint