Baghdad Ke Pul Par Hai Rakha Lasha e Kazim Lyrics In Urdu

Baghdad Ke Pul Par Hai Rakha Lasha e Kazim Lyrics In Urdu

بغداد کے پُل پر ہے رکھا لاشہءِ کاظمؑ

Be Yaar-o-Madadgar Para Lasha-e-Kazim.

Na Ghusal-o-Kafan Hai Na Koi Waris-o-Wali.
Zanjeron Se Hai Jakra Howa Lasha-e-Kazim.
Afsoos Sad Afsoos Ke Zindan-e-Sitam Se.
Mazdoron Se Uthwaya Gaya Lasha-e-Kazim.
Jafar Ke Pisar Par Tu Hai Mazlomi Bhi Roti.
Ta Dair Youn Hi Pul Pe Raha Lasha-e-Kazim.
Baghdad Mein Dohrayi Gayi Karb-o-Bala Phir.
Pardais Mein Hay Haye Utha Lasha-e-Kazim.
Kehti Rahi Ro Ro Ke Yehi Fatima Zahra.
Aahan Se Karo Ab Tu Juda Lasha-e-Kazim.
Ro Ro Ke Diya Ghusal-o-Kafan Maula Raza Ne.
Aahoon Ki Sadaon Mein Utha Lasha-e-Kazim.
Shabbir Pe Giriya Kiya Oss Waqt Raza Ne.
Jab Zair-e-Lehad Dafan Kiya Lasha-e-Kazim.
Sar Peet Ke Parh Noha Yehi :MOHTASHAM E : Zaar.
Kis Tarha Se Pul Par Tha Rakha Lasha-e-Kazim.
Poet: :Mirza Ahsan Abbas Mohtasham:
Noha Khuwan: :Anjuman e Hussaini Tando Agha Hyderabad:
Composition: :Mirza Sajjad Mumtaz:
#BaghdadKePulPar
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

error: Content is protected !!