Gharor-e-Aal-e-Ibba Ko Hussain Kehtay Hain Lyrics In Urdu 2007

Gharor-e-Aal-e-Ibba Ko Hussain Kehtay Hain Lyrics In Urdu 2007

Gharor-e-Aal-e-Ibba Ko Hussain Kehtay Hain.

Ana-e-Rab-e-Aula Ko Hussain Kehtay Hain.

Hasan Ki Zaat Jo Aman-o-Amaan Ki Khaliq Hai.
Shahdton Ke Khuda Ko Hussain Kehtay Hain.

Buredah Sar Ne Tilawat Jo Ki Tu Raaz Khula.
Daleel-e-Zaat-e-Khuda Ko Hussain Kehtay Hain.

Yeh Tool-e-Sajdah-e-Khatam-e-Rasul Se Zahir Hai.
Makeen-e-Arsh-e-Aula Ko Hussain Kehtay Hain.

Ali Tu Uqdah-e-Kusha Hain Tamam Aalam Ke.
Nabi Ke Uqdah Kusha Ko Hussain Kehtay Hain.

Pukara Hur Yeh Ke Janat Hai Naqsh-e-Paye-e-Hussain.
Shafi-e-Rooz-e-Jaza Ko Hussain Kehtay Hain.

:MUHIB: Hussain Ka Gham Hai Har Aik Gham Ka Elaj.
Har Aik Gham Ki Dawa Ko Hussain Kehtay Hain.

Poet: :Muhib Fazli:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2006-07:

#HussainKehtayHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Gharor-e-Aal-e-Ibba Ko Hussain Kehtay Hain Lyrics In Urdu 2007 Write Up Poster Image

Gharor-e-Aal-e-Ibba Ko Hussain Kehtay Hain Lyrics In Urdu 2007

Video Link

Leave a Comment

error: Content is protected !!