Jalal-e-Rab-e-Aula Hai Hussain Ka Ghazi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جلالِ ربِ عُلا ہے حسینؑ کا غازیؑ
Shabeeh-e-Aks-e-Khuda Hai Hussain Ka Ghazi.
Begair Hathon Ke Dunya Mein Hath Walon Ko.
Naseeb Bant Raha Hai Hussain Ka Ghazi.
Ho Kyun Na Iss Ke Waseelay Se Har Dua Pori.
Keh Fatima Ki Dua Hai Hussain Ka Ghazi.
Wajood-e-Nuqta-e-Ba Hain Agar Ali-e-Wali.
Tu Fakhar-e-Nuqta-e-Ba Hai Hussain Ka Ghazi.
Bata Raha Hai Humein Itmenan Zaianb Ka.
Gharor-e-Aal-e-Abba Hai Hussain Ka Ghazi.
Farat Khoof-e-Shujat Se Sokh Na Jaye.
Nehar Ki Samt Chala Hai Hussain Ka Ghazi.
Zamana Lal Qalandar Ko Na Samajh Paya.
Tu Kaise Samjhe Ga Kya Hai Hussain Ka Ghazi.
Bhara Howa Hai Mera Kasa-e-Talab :YASIR:.
Keh Mujh Ko Paal Raha Hai Hussain Ka Ghazi.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2016-17:
#JalaleRabeAula
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com