Sakhi Abbas Aatay Hain Lyrics In Urdu 2006
Sakhi Abbas Aatay Hain.
Yeh Khabar Aam Hoi Aaj Zamane Bhar Mein.
Chand Utra Bani Hashim Ka Ali Ke Ghar Mein.
Aaj Phir Khush Hain Muhammad Ke Gharane Walay.
Char Shaban Hai Abbas Hain Aane Walay.
Dar Pe Saqi Ke Chale Peene Pilane Walay.
Khul Ke Kehta Hai Alam Sun Lein Zamane Walay.
Teergi Door Hoi Shab Ke Ujalay Phailay.
Tehniyat Ke Liye Aatay Hain Payamber Sare.
Chand Ko Dekhne Aflak Se Tare Utray.
Jhom Kar Karb-o-Bala Kehne Lagi Kabay Se.
Jagmagata Nazar Aane Laga Ayewan-e-Wafa.
Phol Ki Tarha Mehkta Hai Gulistan-e-Wafa.
Mah-e-Shaban Mein Kuch Our Barhi shan-e-Wafa.
Ghar Mein Quran Ke Nazil Howa Quran-e-Wafa.
Ghaiz Mein Lakht-e-Dil-e-Shah-e-Madina Aaya.
Youn Laga Khon Ki Barish Ka Mahina Aaya.
Foaj-e-Aada Ka Talatum Mein Safina Aaya.
Maut Ka Maut Ke Mathe Pe Paseena Aaya.
Taig-e-Abbas Ka Har Zakhm Tarasha Ho Ga.
Khof Se Hath Mein Kuffar Ke Rasha Ho Ga.
Raqs-e-Bismil Ka Bhi Ran Mein Tamasha Ho Ga.
Saf Ba Saf Ho Gi Kahin Lashay Pe Lasha Ho Ga.
Aamad-e-Shabar Hai Yeh Sun Ke Sitamgar Bhagay.
Jo The Paidal Woh Sawaron Ke Baraber Bhagay.
Foaj Kay Cheez Hai Jab Foaj Ke Afsar Bhagay.
Choor Kar Taig-o-Sipar Sham Ke Lashkar Bhagay.
Shoor Hai Aamad-e-Ghazi Ka :TAKALLUM: Barpa.
Samne Aaye Na Koi Yehi Behter Ho Ga.
Haidery Shair Hai Maidan Mein Aane Wala.
Rasta Choor Do Jibreel Ki Aati Hai Sada.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Wajhi Hasan Zaidi 2006-07:
#SakhiAbbasAatayHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint