Khoon e Haider Meesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
خونِ حیدرؑ
Behta Hai Khoon-e-Haider Kofay Mein Karbala Mein.
Zahra Ka Ghar Luta Hai Haye Rah-e-Khuda Mein.
Ik Fajar Par Hai Sajda Ik Sajda Asar Par Hai.
Ik Simt Par Hai Beta Ik Simt Pe Padar Hai.
Kya Farq Hai Batao Dono Pe Iss Jafa Mein.
Kofay Mein Murtaz Ki Beti Pe Hai Yateemi.
Shabir Ki Yateema Karb-o-Bala Mein Ujari.
Hain Zainab-o-Sakina Ik Dard Ki Fiza Mein.
Kulsoom Our Zainab Parhti Rahi Hain Noha.
Baba Ko Zakhmi Dekha Bhai Ko Zakhmi Dekha.
Manzar Mein Aik Jaisa Iss Dehar-e-Be-Wafa Mein.
Maloom Tha Ali Ko Sajda Na Ho Ga Pora.
Sarwar Ko Bhi Pata Hai Ab Aakhri Hai Sajda.
Sar Ko Jhukaya Phir Bhi Tazeem-e-Kibriya Mein.
Qasim Ke Hoon Woh Tukray Ya Ho Guluye Asghar.
Akbar Ka Ho Woh Seena Ya Bazu-e-Dilawar.
Imraan Ka Khoon Baha Hai Haye Bugz-e-Murtaza Mein.
:SALMAN: Our :MEESUM: Tareekh Hai Batati.
Guzari Hai Zindagi Bas Aulad-e-Syeda Ki.
Matam Mein Murtaza Ke Shabir Ki Azza Mein.
Poet: :Salman Azmi:
Noha Khuwan: :Meesum Abbas:
Noha Volum: :Meesum Abbas 2018:
21 Ramzan Shahdat Hazrat Ali Noha.
#KhooneHaider
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com