Aankhon Mein Dil Liye Howay Sarkar Raat Din Lyrics In Urdu 2015

Aankhon Mein Dil Liye Howay Sarkar Raat Din Lyrics In Urdu 2015

Aankhon Mein Dil Liye Howay Sarkar Raat Din.

Ya Mehdi Muntazir Hain Azadar Raat Din.

Un Ka Hi Khuwab Dekhte Hain Sote Jagte.
Aankhein Hamari Rehti Hain Bedar Raat Din.

Zanjeerein Hath Mein Liye Hum Sare Matami.
Hain Nusrat-e-Imam Ko Teyar Raat Din.

Jis Din Bhi Koi Majlis-o-Mehfil Na Ho Saki.
Apni Hayat Ke Hain Woh Bekar Raat Din.

Woh Bhi Libas-e-Gham Mein Hai Kafir Kaho Ossay.
Shiyon Ki Tarha Kabay Ki Dewar Raat Din.

Panja Bata Raha Hai Alam Par Jahan Ko.
Pehrey Pe Aaj Bhi Hai Alamdar Raat Din.

Bugz-e-Ali Mein Roza Tahajud Kare Hai Jo.
Woh Ho Raha Hai Our Gunahgar Raat Din.

Oss Mein Mila Ke Ashk-e-Aza Sab Malaika.
Kausar Ko Kar Rahe Haim Mazedar Raat Din.

:SAQLAIN: Barhta Jata Hai Jitna Bhi Intezar.
Utna Hi Barh Raha Hai Mera Pyar Raat Din.

Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:

#RaatDin
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Aankhon Mein Dil Liye Howay Sarkar Raat Din Lyrics In Urdu 2015 Write Up Poster Image

Aankhon Mein Dil Liye Howay Sarkar Raat Din Lyrics In Urdu 2015

Video Link

Leave a Comment

error: Content is protected !!