Al-Fatima-to-Bizato Minni Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ال فاطمۃُ بِضعَۃُ مِنِّی
Hai Rahat-e-Jaan Roh-e-Risalat Meri Beti.
Khaliq Ne Hai Youn Bhi Meri Tauqeer Barhai.
Baba Mujhe Khud Fatima Zahra Ne Kaha Hai.
Dar Asal Yeh Mansab Tu Risalat Se Bara Hai.
Hai Mere Fazail Mein Fazeelat Yeh Anokhi.
Darbar-e-Khilafat Mein Sanad Mangne Wale.
Gar Chahne Wale The Tu Kyun Bhool Gaye The.
Bibi Ki Wirasat Pe Sanad Itni Thi Kafi.
Kalma Ho Azaan Ho Woh Tashahud Ke Aqamat.
Jis Ja Bhi Biyaan Ho Gi Muhammad Ki Risalat.
Yeh Soch Ke Do Meri Risalat Ki Gawahi.
Mushkil Mein Issi Naam Ki Tasbeeh Parha Kar.
Do Rakatein Phir Hadia-e-Zahra Bhi Adda Kar.
Ab Mang Khuda Se Tu Khudai Bhi Mile Gi.
Aye Momino Hargiz Na Meri Baat Bhulana.
Ik Khums Adda Karna Hai Ik Ashk Bahana.
Wajib Hain Yeh Dono Nahi Dono Ki Moafi.
Har Dushman-e-Zhara Pe Sada Karta Ho Lanat.
:MUHSIN: Main Imanat Mein Karon Kaise Khiyanat.
Iss Kar-e-Adawat Mein Hai Khaliq Ki Riza Bhi.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#AlFatimatoBizatoMinni
#ManqabatLyrics
#tajpoint