Kahan Aasan Hai Paidal Najaf Se Karbala Jana Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کہاں آسان ہے پیدل نجف سے کربلا جانا
Salam Aaye Zair-e-Mula Mubarak Josh-e-Zawari.
Kahan Aasan Hai Paidal Najaf Se Karbala Jana.
Ali Wala Najaf Ki Sar Zameen Par Jab Utarta Hai.
Wilay-e-Murtaza Se Our Bhi Emaan Nikharta Hai.
Keh Jab Josh-e-Mawaddat Apni Manzil Se Ubharta Hai.
Hussani Matami Yeh Kar-e-Mushkil Kar Guzarta Hai.
Nikal Parta Hai Zawari Ko Phir Molai Mastana.
Aqeeday Ke Bina Par Bhi Yeh Mushkil Kam Hota Hai.
Yeh Kar-e-Khair Hain Be-Mool Our Be-Daam Rota Hai.
Our Iss Iqdam Par ALLAH Ka Inam Hota Hai.
Falak Ke Sakino Mein Oss Bashar Ka Naam Hota Hai.
Isse Buzdil Nahi Kar Dein Amal Yeh Hai Dalairana.
Safar Mein Har Hussaini Zairon Ke Naaz Uthata Hai.
Koi Pani Pilata Hai Koi Khana Khilata Hai.
Bana Kar Apne Mehmaan Our Kuch Jazba Barhata Hai.
Bagarz-e-Khidmat-e-Zair Woh Qadmoon Ko Dabata Hai.
Yeh Izzat Yeh Sharf Pata Hai Bas Mola Ka Dewana.
Muhib-e-Shah-e-Wala Ke Siwa Koi Nahi Aisa.
Mosafat Tay Kare Jo Iss Tarha Se Fee Sabeelillah.
Safar Mein Sakhtiyaan Kar-e-Ibadat Soch Kar Sehna.
Keh Har Uthte Qadam Pe Shukar Khaliq Ka Ada Karna.
Nahi Humsar Koi Molaiyon Ka Sab Ne Yeh Mana.
Keh Jab Pocha Gaya Yeh Rah Mein Zawar Se Aakhir.
Humein Bhi Tu Bata Mehsoos Kya Karta Hai Tu Zair.
Kaha Oss Ne Chala Hoon Marqad-e-Shabir Ki Khatir.
Zameen Pe Paon Hain Lekin Falak Pe Soch Hai :YASIR:
Keh Milne Ja Raha Hai Dekh Le Shama Se Parwana.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#NajafSeKarbalaJana
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com