Qabr Zahra Ki Shahid Baltistani Lyrics In Urdu

Qabr Zahra Ki Shahid Baltistani Lyrics In Urdu

قبر زہراؑ کی بنانا کوئی آسان نا تھا

Qabar Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha.
Phir Nishaan Oss Ka Mitana Koi Aasan Na Tha.
Baad Baba Ke Ajab Alam-e-Tanhai Tha.
Our Phir Sara Madina Hi Tamashai Tha.
Fatima Par Woh Zamana Koi Aasan Na Tha.
Hath Paband Hain Gardan Mein Hai Jis Ke Rasi.
Hai Woh Mazloom Mera Wali Zamane Ka Wali.
Ja Ke Dar Dar Pe Batana Koi Aasan Na Tha.
Pasliyaan Toot Ke Youn Choor Thin Shehzadi Ki.
Karne Lagti Thin Jo Khaliq Ki Ibadat Bibi.
Hath Pehlu Se Hatana Koi Aasan Na Tha.
Pocha Zainab Ne Jo Baloon Mein Safaidi Kyun Hai.
Ro Ke Beti Se Faqat Itna Kaha Zahra Ne.
Bharay Darbar Mein Jana Koi Aasan Na Tha.
Meekh Darwazay Ki Pehlu Mein Gari Thi Lekin.
Dard Se Sans Bhi Lena Tha Jahan Na Mumkin.
Phir Bhi Haider Ko Bachana Koi Aasan Na Tha.
Thi Woh Ghurbat Ki Bohat Sakht Ghari Zahra Par.
Qatal Mohsin Bhi Howa Mujh Pe Gira Jalta Dar.
Gham Yeh Haider Ko Batana Koi Aasan Na Tha.
Qabar-e-Zahra Pe Yeh Kehte They Ali Ro Ro Kar.
Tha Mere Wastay Aasan Uthana Khaybar.
Tera Taboot Uthana Koi Aasan Na Tha.
Mamta Maa Ki :RAZA: Hum Se Raqam Kaisay Ho.
Haye :DARWAISH: Ke Oss Dard Mein Bhi Bachoon Ko.
Apne Pehlu Mein Sulana Koi Aasan Na Tha.
Poet: :Ali Raza Surani & Shahid Baltistani:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2023-24:
Composed: :Shahid Baltistani:
#QabrZahraKi
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

error: Content is protected !!