Madh-e-Shabir Sunane Ka Hunar Jaanta Hoon Lyrics In Urdu 2015
Madh-e-Shabir Sunane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Apni Auqaat Barhane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Farsh Mehfil Ka Basad Naaz Bicha Kar Ghar Mein.
Arsh Walon Ko Bulane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Parcham-e-Hazrat-e-Abbas Utha Rakha Hai.
Oaj-e-Aflak Pe Jane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Majlis-e-Shah-e-Shaheedan Mein Baha Kar Aanso.
Dolat-e-Khuld Kamane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Ba-Khuda Peet Pe Zanjeer Ka Matam Kar Ke.
Looh-e-Taqdeer Banane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Aye Nuseri Tere ALLAH Ko Mula Keh Ke.
Apna Eman Bachane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Perway Mesum Tammar Hoon Darna Kaisa.
Maut Se Aankh Milane Ka Hunar Jaanta Hoon.
:DEBAL-o-MIR-o-FARAZDAQ: Ki Tarha Se :YASIR:.
Filbadi Likhne Likhane Ka Hunar Jaanta Hoon.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#JaantaHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Madh-e-Shabir Sunane Ka Hunar Jaanta Hoon Lyrics In Urdu 2015 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
